ALL
Profile
Ghazal94
Nazm48
Sher81
E-book31
TOP 20 SHAYARI 20
Image Shayari25
Audio35
Video45
Other
Doha12
Filmi Geet18
Nida Fazli
Ghazal 94
Nazm 48
Sher-o-Shayari 81
kabhī kisī ko mukammal jahāñ nahīñ miltā
kahīñ zamīn kahīñ āsmāñ nahīñ miltā
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zamin kahin aasman nahin milta
-
Share this
- See Ghazal
har aadmī meñ hote haiñ das biis aadmī
jis ko bhī dekhnā ho ka.ī baar dekhnā
har aadmi mein hote hain das bis aadmi
jis ko bhi dekhna ho kai bar dekhna
-
Share this
- See Ghazal
dhuup meñ niklo ghaTāoñ meñ nahā kar dekho
zindagī kyā hai kitāboñ ko haTā kar dekho
dhup mein niklo ghaTaon mein naha kar dekho
zindagi kya hai kitabon ko haTa kar dekho
-
Share this
- See Ghazal
koshish bhī kar umiid bhī rakh rāsta bhī chun
phir is ke ba.ad thoḌā muqaddar talāsh kar
koshish bhi kar umid bhi rakh rasta bhi chun
phir is ke baad thoDa muqaddar talash kar
-
Share this
- See Ghazal
Doha 12
Filmi Geet 18
BOOKS 31
Image Shayari 25
har taraf har jagah be-shumaar aadmii phir bhii tanhaa.iyo.n kaa shikaar aadmii sub.h se shaam tak bojh Dhotaa hu.aa apnii hii laash kaa KHud mazaar aadmii har taraf bhaagte dau.Dte raaste har taraf aadmii kaa shikaar aadmii roz jiitaa hu.aa roz martaa hu.aa har na.e din nayaa intizaar aadmii ghar kii dahliiz se gehuu.n ke khet tak chaltaa phirtaa ko.ii kaarobaar aadmii zindagii kaa muqaddar safar-dar-safar aaKHirii saa.ns tak be-qaraar aadmii
ham labo.n se kah na paa.e un se haal-e-dil kabhii aur vo samjhe nahii.n ye KHaamushii kyaa chiiz hai