aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
tum āsmāñ kī bulandī se jald lauT aanā
hameñ zamīñ ke masā.il pe baat karnī hai
tum aasman ki bulandi se jald lauT aana
hamein zamin ke masail pe baat karni hai
haath TūTeñ maiñ ne gar chheḌī hoñ zulfeñ aap kī
aap ke sar kī qasam bād-e-sabā thī maiñ na thā
hath TuTen main ne gar chheDi hon zulfen aap ki
aap ke sar ki qasam baad-e-saba thi main na tha
saarā aalam hama-tan-gosh huā jaatā hai
sāz-e-hastī hai ki ḳhāmosh huā jaatā hai
sara aalam hama-tan-gosh hua jata hai
saz-e-hasti hai ki KHamosh hua jata hai
marnā to is jahāñ meñ koī hādisa nahīñ
is daur-e-nāgavār meñ jiinā kamāl hai
marna to is jahan mein koi hadisa nahin
is daur-e-nagawar mein jina kamal hai
rishta-e-dard kī mīrās milī hai ham ko
ham tire naam pe jiine kī ḳhatā karte haiñ
rishta-e-dard ki miras mili hai hum ko
hum tere nam pe jine ki KHata karte hain
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books