aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
haal yuuñ hasb-e-rivāyat pūchhne se peshtar
dil ke TukḌoñ kī khanak phīkī hañsī meñ DhūñDhiye
haal yun hasb-e-riwayat puchhne se peshtar
dil ke TukDon ki khanak phiki hansi mein DhunDhiye
duniyā ke hukmarāno kisī aur dar pe jaao
tum ko salām karne kī 'ādat nahīñ mujhe
duniya ke hukmarano kisi aur dar pe jao
tum ko salam karne ki 'adat nahin mujhe
maiñ sar-ba-sajda sakūñ meñ nahīñ safar meñ huuñ
jabīñ pe daaġh nahīñ aabla banā huā hai
main sar-ba-sajda sakun mein nahin safar mein hun
jabin pe dagh nahin aabla bana hua hai
kahīñ vo aa ke miTā deñ na intizār kā lutf
kahīñ qubūl na ho jaa.e iltijā merī
let her not come to me and this pleasure destroy
let not my prayers be answered, for waiting is a joy
kahin wo aa ke miTa den na intizar ka lutf
kahin qubul na ho jae iltija meri
sab ḳhvāhisheñ puurī hoñ 'farāz' aisā nahīñ hai
jaise ka.ī ash.ār mukammal nahīñ hote
sab KHwahishen puri hon 'faraaz' aisa nahin hai
jaise kai ashaar mukammal nahin hote
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books