aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
jaan agar ho jaan to kyūñ-kar na ho tujh par nisār
dil agar ho dil tirī sūrat pe shaidā kyuuñ na ho
jaan agar ho jaan to kyun-kar na ho tujh par nisar
dil agar ho dil teri surat pe shaida kyun na ho
chāñdnī raat ke āñchal meñ sitāre hoñge
ham to tanhā tirī yādoñ ke sahāre hoñge
chandni raat ke aanchal mein sitare honge
hum to tanha teri yaadon ke sahaare honge
abhī raat kuchh hai baaqī na uThā naqāb saaqī
tirā rind girte girte kahīñ phir sambhal na jaa.e
as yet the night does linger on do not remove your veil
lest your besotten follower re-gains stability
abhi raat kuchh hai baqi na uTha naqab saqi
tera rind girte girte kahin phir sambhal na jae
safar meñ aise ka.ī marhale bhī aate haiñ
har ek moḌ pe kuchh log chhūT jaate haiñ
safar mein aise kai marhale bhi aate hain
har ek moD pe kuchh log chhuT jate hain
aap sāgar haiñ to sairāb kareñ pyāse ko
aap bādal haiñ to mujh dasht pe saayā kiije
aap sagar hain to sairab karen pyase ko
aap baadal hain to mujh dasht pe saya kije
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books