aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
ab log apne aap ko pahchānte nahīñ
pesh-e-nigāh jaise koī ā.īna na ho
ab log apne aap ko pahchante nahin
pesh-e-nigah jaise koi aaina na ho
ham ajnabī haiñ aaj bhī apne dayār meñ
har shaḳhs pūchhtā hai yahī tum yahāñ kahāñ
hum ajnabi hain aaj bhi apne dayar mein
har shaKHs puchhta hai yahi tum yahan kahan
aap kī hastī meñ hī mastūr ho jaatā huuñ maiñ
jab qarīb aate ho ḳhud se duur ho jaatā huuñ maiñ
aap ki hasti mein hi mastur ho jata hun main
jab qarib aate ho KHud se dur ho jata hun main
mire vajūd ke andar hai ik qadīm makān
jahāñ se maiñ ye udāsī udhār letī huuñ
mere wajud ke andar hai ek qadim makan
jahan se main ye udasi udhaar leti hun
vo māhtāb-sifat is liye rakhā dil meñ
ki raushnī bhī zarūrī thī is mahal ke liye
wo mahtab-sifat is liye rakha dil mein
ki raushni bhi zaruri thi is mahal ke liye
Jashn-e-Rekhta 11th Edition | 29-30-31 Jan, 2027 Buy Tickets
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books