Quotes of Musharraf Alam Zauqi

Yeh kaayenaat behad haseen hai magar unke liye jo jeena jaante hain.

Urdu zabaan-o-adab ne mujhe jeene ka saleeqa sikhaaya hai.

Mohabbat meri kamzori hai, nasha hai.
Mohabbat meri kamzori hai, nasha hai.

Main woh shakhs hoon jisne apni zindagi ka har din adab ki aaghosh mein guzaara hai.

Cigeratte aur chai! Main in do buri aadaton ka ghulaam hoon.

Adab mere liye zindagi se ziyaada aham hai.

-
Tag : Literature

Sachchi khushi hamesha likhne se hoti hai. Main har nai takhleeq par bachchon ki tarah khush ho jaata hoon.

Mujhe un logon par rashk aata hai jo sirf naye-naye kirdaar hi nahi gadhte, balki apne kirdaaron ke baare mein is tarah ki baatein karte hain jaise woh mahaz farzi kirdaar na hon, balki chalte-phirte aadmi hon, zinda makhlooq hon.

Main paidaishi adeeb hoon, adab ke alaawa kuch aur soch bhi nahi sakta.
Main paidaishi adeeb hoon, adab ke alaawa kuch aur soch bhi nahi sakta.
-
Tag : Literature

Main manzilon ki parwaah nahi karta, meri har takhleeq mere liye eik naee manzil hai.

Biwi se badi naayika ya heroine koi nahin hai. Phir aap doosri auraton ke saamne to romaani ho sakte hain, biwi ke saamne kyun nahin?!