ALL
Profile
E-book487
Article54
Short story4
Quote24
interview10
Sher1
Ghazal20
Nazm17
Audio1
Video6
Gallery 22
Rubai9
Blog2
Quotes of Shamsur Rahman Faruqi

Urdu ek chhoti zabaan hai aur umr bhi iski bahut kam hai. Iske bolne waalon ki koi siyaasi quwwat bhi nahi hai. Jaisi ki Arabi bolne waalon ki hai. Lekin phir bhi Urdu is waqt duniya ki chand eik zabaano mein se eik hai jo haqeeqi taur par bain-ul-aqwaami hain.

Tanqeed ka maqsad maaloomaat mein izaafa karna nahi balki ilm mein izaafa karna hai.

Adab mein ye koi shart nahi hai ki mahsoos ki hui baatein hi likhi jaaein. Adab to zabaan ka maamla hai. Zabaan mein jo izhaar mumkin hai woh adab ka izhaar ho sakta hai.

Duniya ki nigaahon mein to meri pehchaan aise naqqaad ki hai jisne adab ke har maidaan mein tanqeed ka haq ada kiya hai lekin jiske khayaalaat ne logon ko gumraah bhi kiya hai. Farq sirf ye hai ki duniya jise gumraahi qaraar deti hai main use raah-e-mustaqeem samajhta hoon.

Jab taaleem ke naam par khaandagi ki tausee' hone lagti hai to me'yaar mein zabardast inhitaat paida hota hai.

Shaa'iri ka mizaaj har ahd mein propegande ke khilaaf raha hai.

Hindustan ke bagair aur Hindustan ke baahar mera koi wujood nahi.

Main takhleeq ko tanqeed se afzal maanta hoon. Main ye bhi jaanta hoon ki tanqeedi tahreer ki zindagi kai baaton par munhasir hoti hai. Unmein sabse badi baat ye hai ki tanqeed apni jagah par jaamid hoti hai. Iske maa'ni zamaane ke saath badalte nahi lekin takhleeq ki nau'iyat hur ki hai, zamaane ke saath uske maa'ni aur maanawiyat dono badal sakte hain, lihaaza tanqeed eik mahdood kaar-guzaari hai, chaahe is mein kitni hi chamak-damak kyun na ho aur chaahe uske baare mein kitne hi jalse kyun na mun'aqid hon aur kitne hi buland baang daa've kyun na kiye jaaein!

Be‑takalluf ho jaane ke baad main bahut kam parde ka qaael hoon lekin be‑takalluf hone mein mujhe khaasi der lagti hai.

Jo log kahte hain Shams-ur-Rahmaan Farooqi samaaji anaasir aur samaaji sha'oor ke anaasir ko adab se kharij karna chahte hain un logon ne dar-asl mujhe padha hi nahi hai. Kyunki main to hamesha se ye kahta chala aa raha hoon ki main to adab ki khud-mukhtaari aur adeeb ki aazaadi ka qaael hoon. Jab main adeeb ki aazaadi ka qaael hoon to isliye ye kaise kah sakta hoon ki tum ye na likho aur woh likho.

She'r is liye bartar hai ki woh zabaan ka behtar, ziyaada hassaas aur nokila istemaal karta hai.

Aalaa darje ke lughaat ke baghair zabaan ki buniyaaden mazboot nahi hotin.

Adeeb ko kisi siyaasi ya ghair adabi nazariye ka paaband nahi hona chaahiye kyunki aisi paabandi izhaar ki aazaadi ki raahen rok deti hain.

Adab zindagi ka izhaar karta hai aur zindagi ka eik amal hai. Iske liye ye e'laan karna zaroori nahi ki adab ka ta'alluq zindagi se hai.

Adab ke bare mein buniyaadi sawaalaat uthaana aur mantiqi rabt ke saath unka jawaab dena naqqaad ka pahla kaam hona chahiye...

Jugraafiyaai sha'oor dar-asl taareekhi sha'oor ke baghair mohlik ho jaata hai.

Mere group mein sirf do rukn hain, main aur meri beewi.

Fun-paare ki koi taa'beer hatmi aur aakhiri nahi hoti, lihaaza koi tanqeed harf-e-aakhir nahi ho sakti.

Apne ham‑asron mein mujhe wahi log ziyaada achchhe lage jin ke liye adab saazishon ka khel nahi balki zindagi se bhi maawara eik haqeeqat hai.

Taraqqi pasandon ne ghazal ko saamraaji nizaam ki yaadgaar kah kar isliye biraadari se baahar karne ki koshish ki, ki unhen khauf tha ki agar is sakht-jaan laundiya ko ghar mein ghusne diya gaya to achchha na hoga.

She’r ke liye ye zaroori nahi ki woh zindagi se apne ta'alluq ya apne insaan-pan ko saabit karne ke liye sadak par jaakar jhanda uthaaye aur naara lagaaye.

Rasm-ul-khat woh cheez hoti hai jo aasaani ya kisi aur wajah se murawwaj hone ki bina par adopt kar liyaa jaata hai. Zabaan ki jaan is mein nahi hoti.

Fiction nigaar ki haisiyat se mera apna tajurba bhi yahi hai ki main apne kirdaar ya waqoo‘e ko jaisa banaana chaahta hoon, hamesha waisa banta nahi hai. Mere saamne saame‘a bhi nahi hai jiske dabaao ke tahat main kirdaar aur waqoo‘e ko aazaad na hone doon. Is tarah mutazaad si soorat‑e‑haal banti hai ki main apne fiction ka khaaliq hoon bhi aur nahi bhi hoon...

Agar meri koi nasl hai bhi aur woh 'Muslim' ya 'Arab' nasl hai, to woh mere Hindustani aqaaid aur mahsusaat ke rangon mein rangi hui hai. Hindustan ke baghair aur Hindustan ke baahar mera koi wujood nahi.