Sher of Hayat Amrohvi
āshiq kī bhī hastī hai duniyā meñ ajab hastī
zinda hai to rusvā hai mar jaa.e to afsāna
aashiq ki bhi hasti hai duniya mein ajab hasti
zinda hai to ruswa hai mar jae to afsana
zindagī kā saaz bhī kyā saaz hai
baj rahā hai aur be-āvāz hai
zindagi ka saz bhi kya saz hai
baj raha hai aur be-awaz hai
lai na TuuTe zindagī ke saaz kī
zindagī āvāz hī āvāz hai
lai na TuTe zindagi ke saz ki
zindagi aawaz hi aawaz hai
zabt-e-ġham vufūr-e-shauq aur dil-e-nā-subūr-e-ishq
mujh ko to hai ġhurūr-e-ishq aap ko naaz ho na ho
zabt-e-gham wufur-e-shauq aur dil-e-na-subur-e-ishq
mujh ko to hai ghurur-e-ishq aap ko naz ho na ho
chheḌiye sāz-e-zindagī naġhma-navāz ho na ho
aah to kar ke dekhiye soz meñ saaz ho na ho
chheDiye saz-e-zindagi naghma-nawaz ho na ho
aah to kar ke dekhiye soz mein saz ho na ho