Sher of Qurban Ali Salik Beg
tañg-dastī agar na ho 'sālik'
tandurustī hazār ne.amat hai
tang-dasti agar na ho 'salik'
tandurusti hazar neamat hai
-
Tag : Famous shayari
bach gayā tīr-e-nigāh-e-yār se
vāqa.ī ā.īna hai faulād kā
bach gaya tir-e-nigah-e-yar se
waqai aaina hai faulad ka
-
Tag : Teer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab tak bhī mere hosh Thikāne nahīñ hue
'sālik' kā haal raat ko aisā sunā ki bas
ab tak bhi mere hosh Thikane nahin hue
'salik' ka haal raat ko aisa suna ki bas
sayyād aur qaid-e-qafas se kare rahā
jhūTī ḳhabar kisī kī uḌaa.ī huī sī hai
sayyaad aur qaid-e-qafas se kare raha
jhuTi KHabar kisi ki uDai hui si hai
kyā sair ho batā de koī but-kade kī raah
jaatā huuñ raah ka.abe kī maiñ pūchhtā huā
kya sair ho bata de koi but-kade ki rah
jata hun rah kabe ki main puchhta hua
'sālik' chakhā.ūñ un ko mazā jaur kā abhī
Dartā huuñ kuchh burā na kaheñ sin ke das mujhe
'salik' chakhaun un ko maza jaur ka abhi
Darta hun kuchh bura na kahen sin ke das mujhe
hai in dinoñ meñ gardish-e-chashm-e-butāñ kā daur
terā zamāna gardish-e-daurāñ nikal gayā
hai in dinon mein gardish-e-chashm-e-butan ka daur
tera zamana gardish-e-dauran nikal gaya