Sher of Farhad Ahmad Figar
sham'-e-islām jis se firozāñ hui
vo lahū mustafā ke gharāne kā hai
sham'-e-islam jis se firozan hui
wo lahu mustafa ke gharane ka hai
maiñ jitnī der bayābāñ meñ thā to insāñ thā
zarā jo shahr meñ aayā darinda ho gayā maiñ
main jitni der bayaban mein tha to insan tha
zara jo shahr mein aaya darinda ho gaya main
kis suhūlat se jaan lī merī
us ne har baat maan lī merī
kis suhulat se jaan li meri
us ne har baat man li meri
mazdūroñ ke naam pe ab ke bhī
kuchh logoñ ne sirf siyāsat kī
mazduron ke nam pe ab ke bhi
kuchh logon ne sirf siyasat ki