Khalilur Rahman Azmi
Ghazal 66
Nazm 36
Sher-o-Shayari 56
na jaane kis kī hameñ umr bhar talāsh rahī
jise qarīb se dekhā vo dūsrā niklā
na jaane kis ki hamein umr bhar talash rahi
jise qarib se dekha wo dusra nikla
-
Share this
- See Ghazal
bhalā huā ki koī aur mil gayā tum sā
vagarna ham bhī kisī din tumheñ bhulā dete
bhala hua ki koi aur mil gaya tum sa
wagarna hum bhi kisi din tumhein bhula dete
-
Share this
- See Ghazal
jaane kyuuñ ik ḳhayāl sā aayā
maiñ na hūñgā to kyā kamī hogī
jaane kyun ek KHayal sa aaya
main na hunga to kya kami hogi
-
Share this
- See Ghazal
Article 4
BOOKS 57
Image Shayari 8
bas ki paabandi-e-aa.iin-e-vafaa ham se hu.ii ye agar ko.ii KHataa hai to KHataa ham se hu.ii zindagii tere liye sab ko KHafaa ham ne kiyaa apnii qismat hai ki ab tuu bhii KHafaa ham se hu.ii raat bhar chain se sone nahii.n detii ham ko itnii maayuus tirii zulf-e-rasaa ham se hu.ii sar uThaane kaa bhalaa aur kise yaaraa thaa bas tire shahr me.n ye rasm adaa ham se hu.ii baar-haa dast-e-sitam-gar ko qalam ham ne kiyaa baar-haa chaak a.ndhere kii qabaa ham se hu.ii ham ne utne hii sar-e-raah jalaa.e hai.n charaag jitnii bargashta zamaane kii havaa ham se hu.ii baar-e-hastii to uThaa uTh na sakaa dast-e-savaal marte marte na kabhii ko.ii du.aa ham se hu.ii kuchh dino.n saath lagii thii hame.n tanhaa paa kar kitnii sharminda magar mauj-e-balaa ham se hu.ii