Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab dil bhi dukhao to aziyyat nahin hoti

Akram Mahmud

ab dil bhi dukhao to aziyyat nahin hoti

Akram Mahmud

MORE BYAkram Mahmud

    ab dil bhī dukhāo to aziyyat nahīñ hotī

    hairat hai kisī baat pe hairat nahīñ hotī

    ab dard bhī ik had se guzarne nahīñ paatā

    ab hijr meñ vo pahlī vahshat nahīñ hotī

    hotā hai to bas ek tire hijr shikva

    varna to hameñ koī shikāyat nahīñ hotī

    kar detā hai be-sāḳhta bāñhoñ ko kushāda

    jab bach ke nikal jaane sūrat nahīñ hotī

    dil ḳhush jo nahīñ rahtā to is bhī sabab hai

    maujūd koī vaj.h-e-masarrat nahīñ hotī

    yuuñ bar-sar-e-paikār huuñ maiñ ḳhud se musalsal

    ab us se ulajhne bhī fursat nahīñ hotī

    ab yuuñ bhī nahīñ hai ki vo achchhā nahīñ lagtā

    yuuñ hai ki mulāqāt sūrat nahīñ hotī

    ye hijr-e-musalsal vazīfa hai mirī jaañ

    ik tark-e-sukūnat to hijrat nahīñ hotī

    do chaar baras jitne bhī haiñ jabr sah leñ

    is umr meñ ab ham se baġhāvat nahīñ hotī

    ab dil bhi dukhao to aziyyat nahin hoti

    hairat hai kisi baat pe hairat nahin hoti

    ab dard bhi ek had se guzarne nahin pata

    ab hijr mein wo pahli si wahshat nahin hoti

    hota hai to bas ek tere hijr ka shikwa

    warna to hamein koi shikayat nahin hoti

    kar deta hai be-saKHta banhon ko kushada

    jab bach ke nikal jaane ki surat nahin hoti

    dil KHush jo nahin rahta to is ka bhi sabab hai

    maujud koi wajh-e-masarrat nahin hoti

    yun bar-sar-e-paikar hun main KHud se musalsal

    ab us se ulajhne ki bhi fursat nahin hoti

    ab yun bhi nahin hai ki wo achchha nahin lagta

    yun hai ki mulaqat ki surat nahin hoti

    ye hijr-e-musalsal ka wazifa hai meri jaan

    ek tark-e-sukunat hi to hijrat nahin hoti

    do chaar baras jitne bhi hain jabr hi sah len

    is umr mein ab hum se baghawat nahin hoti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now