aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

abhi gunah ka mausam hai aa shabab mein aa

Abdullah Kamal

abhi gunah ka mausam hai aa shabab mein aa

Abdullah Kamal

MORE BYAbdullah Kamal

    abhī gunāh mausam hai aa shabāb meñ aa

    nasha utarne se pahle mirī sharāb meñ aa

    dhanak ḳhvāb ḳhushbū phir baras mujh par

    na.ī ġhazal tarah mirī kitāb meñ aa

    uThā na der tak ehsān mausam-e-gul

    maiñ zindagī huuñ mujhe mire azaab meñ aa

    vo mere lab ke parinde vo terā jhīl-badan

    bujhā na pyaas mirī magar sarāb meñ aa

    tire darīche se hai duur merā darvāza

    agar dard hai merā to dil ke baab meñ aa

    maiñ tujh ko jāgtī āñkhoñ se chhū sakūñ na kabhī

    mirī anā bharam rakh le mere ḳhvāb meñ aa

    abhi gunah ka mausam hai aa shabab mein aa

    nasha utarne se pahle meri sharab mein aa

    dhanak si KHwab si KHushbu si phir baras mujh par

    nai ghazal ki tarah tu meri kitab mein aa

    uTha na der tak ehsan mausam-e-gul ka

    main zindagi hun mujhe ji mere azab mein aa

    wo mere lab ke parinde wo tera jhil-badan

    bujha na pyas meri tu magar sarab mein aa

    tere dariche se hai dur mera darwaza

    agar tu dard hai mera to dil ke bab mein aa

    main tujh ko jagti aankhon se chhu sakun na kabhi

    meri ana ka bharam rakh le mere KHwab mein aa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now