Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

agar meri jabin-e-shauq waqf-e-bandagi hoti

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

agar meri jabin-e-shauq waqf-e-bandagi hoti

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

MORE BYAbu Mohammad Wasil Bahraichi

    agar merī jabīn-e-shauq vaqf-e-bandagī hotī

    to phir mahshūr un ke saath apnī zindagī hotī

    jo tasvīr-e-ḳhyālī naqsh dil par ho ga.ī hotī

    to apnī zaat meñ har-dam tirī jalva-garī hotī

    razā-e-dost par qurbān jis har ḳhushī hotī

    haqīqat meñ usī ġham se ḳhālī zindagī hotī

    nigāh-e-mast-e-sāqī se jo mai-ḳhvāroñ ne hotī

    yaqīnan hashr tak un ko na phir tishna-labī hotī

    husūl-e-dard-o-ġham koshishoñ meñ gar kamī hotī

    surūr-o-kaif lazzat kahāñ mujh ko milī hotī

    mujhe vo bātoñ bātoñ meñ agar dīvāna kah dete

    to dīvānoñ meñ merī mo'atabar dīvāngī hotī

    tire mashq-e-sitam ne kisī qābil kiyā mujh ko

    terā ehsān varna zindagī kis kaam hotī

    tumhārā aa.ina ban kar jo dil pesh-e-nazar rahtā

    tumhīñ tum jalva-gar hote na sūrat dūsrī hotī

    tasavvur ke aalam meñ jo vo taklīf farmāte

    to kyuuñ furqat-nasīboñ ke liye shab hijr hotī

    agar terī tarah tablīġh kartā pīr-e-mai-ḳhāna

    to duniyā-bhar meñ vaa.iz mai-kashī mai-kashī hotī

    tumhārī be-niyāzī ko ġharaz kab hai magar merī

    tamannā hai jabīn-e-shauq vaqf-e-bandagī hotī

    hayāt-o-maut paiġhām detā har-nafas 'vāsil'

    kabhī rū-posh vo hote kabhī jalva-garī hotī

    jo ma.abūdān-e-bātil jahāñ meñ sarvarī hotī

    muqābil haidarī ke past kyuuñ kar marhabī hotī

    agar meri jabin-e-shauq waqf-e-bandagi hoti

    to phir mahshur un ke sath apni zindagi hoti

    jo taswir-e-KHyali naqsh dil par ho gai hoti

    to apni zat mein har-dam teri jalwa-gari hoti

    raza-e-dost par qurban jis ki har KHushi hoti

    haqiqat mein usi ki gham se KHali zindagi hoti

    nigah-e-mast-e-saqi se jo mai-KHwaron ne pi hoti

    yaqinan hashr tak un ko na phir tishna-labi hoti

    husul-e-dard-o-gham ki koshishon mein gar kami hoti

    surur-o-kaif ki lazzat kahan mujh ko mili hoti

    mujhe wo baaton baaton mein agar diwana kah dete

    to diwanon mein meri mo'atabar diwangi hoti

    tere mashq-e-sitam hi ne kisi qabil kiya mujh ko

    tera ehsan warna zindagi kis kaam ki hoti

    tumhaara aaina ban kar jo dil pesh-e-nazar rahta

    tumhin tum jalwa-gar hote na surat dusri hoti

    tasawwur hi ke aalam mein jo wo taklif farmate

    to kyun furqat-nasibon ke liye shab hijr ki hoti

    agar teri tarah tabligh karta pir-e-mai-KHana

    to duniya-bhar mein waiz mai-kashi hi mai-kashi hoti

    tumhaari be-niyazi ko gharaz kab hai magar meri

    tamanna hai jabin-e-shauq waqf-e-bandagi hoti

    hayat-o-maut ka paigham deta har-nafas 'wasil'

    kabhi ru-posh wo hote kabhi jalwa-gari hoti

    jo mabudan-e-baatil ki jahan mein sarwari hoti

    muqabil haidari ke past kyun kar marhabi hoti

    Source:

    Jalwa-e-Haq (Pg. 43)

    • Author: Abu Mohammad vasil
      • Edition: 2000
      • Publisher: Urdu Academy
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now