aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne apne lahu ki udasi liye sari galiyon se bachche palaT aaenge

Ghulam Husain Sajid

apne apne lahu ki udasi liye sari galiyon se bachche palaT aaenge

Ghulam Husain Sajid

MORE BYGhulam Husain Sajid

    apne apne lahū udāsī liye saarī galiyoñ se bachche palaT ā.eñge

    dhuup garm chādar simaTte phir ye sunahrī parinde palaT ā.eñge

    shaam aa.ī hai aur sā.atoñ ke qadam pāniyoñ ravānī meñ rukne lage

    kaun kahtā hai in bādaloñ se pare āsmāñ par sitāre palaT ā.eñge

    ye darīche isī tarah raushan raheñ aur gulāboñ ḳhushbū salāmat rahe

    phir isī chhāñv meñ saañs lene ko ham apne apne gharoñ se palaT ā.eñge

    ham musāfir haiñ gard-e-safar haiñ magar ai shab-e-hijr ham koī bachche nahīñ

    jo abhī āñ.suoñ meñ nahā kar ga.e aur abhī muskurāte palaT ā.eñge

    phir unhī zard peḌoñ ke nañge badan sho.ala-e-naḳhl se raakh hone lage

    maiñ to samjhā thā mausam badalte phir Dāliyoñ par vo patte palaT ā.eñge

    ye safīne jo ik lahr ke vāste apne apne bahāv meñ bahne lage

    ik adhūrī masāfat tasvīr meñ phir koī rañg bharne palaT ā.eñge

    ek din yaad ā.ūñgā 'sājid' use umr be-karānī meñ maiñ bhī kahīñ

    shaam aa.egī aur mere āñgan meñ bhī in daraḳhtoñ ke saa.e palaT ā.eñge

    apne apne lahu ki udasi liye sari galiyon se bachche palaT aaenge

    dhup ki garm chadar simaTte hi phir ye sunahri parinde palaT aaenge

    sham aai hai aur saaton ke qadam paniyon ki rawani mein rukne lage

    kaun kahta hai in baadalon se pare aasman par sitare palaT aaenge

    ye dariche isi tarah raushan rahen aur gulabon ki KHushbu salamat rahe

    phir isi chhanw mein sans lene ko hum apne apne gharon se palaT aaenge

    hum musafir hain gard-e-safar hain magar ai shab-e-hijr hum koi bachche nahin

    jo abhi aansuon mein naha kar gae aur abhi muskuraate palaT aaenge

    phir unhi zard peDon ke nange badan shoala-e-naKHl se rakh hone lage

    main to samjha tha mausam badalte hi phir Daliyon par wo patte palaT aaenge

    ye safine jo ek lahr ke waste apne apne bahaw mein bahne lage

    ek adhuri masafat ki taswir mein phir koi rang bharne palaT aaenge

    ek din yaad aaunga 'sajid' use umr ki be-karani mein main bhi kahin

    sham aaegi aur mere aangan mein bhi in daraKHton ke sae palaT aaenge

    Source:

    meyaar (Pg. 384)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now