asbab-e-hast rah mein luTana paDa mujhe

Sidra Sahar Imran

asbab-e-hast rah mein luTana paDa mujhe

Sidra Sahar Imran

MORE BYSidra Sahar Imran

  asbāb-e-hast rah meñ luTānā paḌā mujhe

  phir ḳhālī haath dahr se jaanā paḌā mujhe

  sab log tere shahr ke māzī-parast the

  mushkil se haal meñ unheñ laanā paḌā mujhe

  pahle banā.e aañkh meñ ḳhvāboñ ke maqbare

  phir hasratoñ ko dil meñ dabānā paḌā mujhe

  mujh ko to ḳhair ḳhāna-badoshī raas thī

  tere liye makān banānā paḌā mujhe

  kuchh aur jab rahā na zariya ma.āsh

  kāñdhoñ pe bār-e-ishq uThānā paḌā mujhe

  duniyā ye ghūmtī rahe parkār tarah

  ik dā.era zamīñ pe banānā paḌā mujhe

  ik din ye meñ aa.ī vo āñkheñ phoḌ duuñ

  jin ke liye azaab uThānā paḌā mujhe

  apne muāmle meñ shiddat-pasand thī

  apne liye jaan se jaanā paḌā mujhe

  asbab-e-hast rah mein luTana paDa mujhe

  phir KHali hath dahr se jaana paDa mujhe

  sab log tere shahr ke mazi-parast the

  mushkil se haal mein unhen lana paDa mujhe

  pahle banae aankh mein KHwabon ke maqbare

  phir hasraton ko dil mein dabana paDa mujhe

  mujh ko to KHair KHana-badoshi hi ras thi

  tere liye makan banana paDa mujhe

  kuchh aur jab raha na zariya maash ka

  kandhon pe bar-e-ishq uThana paDa mujhe

  duniya ye ghumti rahe parkar ki tarah

  ek daera zamin pe banana paDa mujhe

  ek din ye ji mein aai wo aankhen hi phoD dun

  jin ke liye azab uThana paDa mujhe

  apne muamle mein hi shiddat-pasand thi

  apne liye hi jaan se jaana paDa mujhe

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY