Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

azal se baada-e-hasti ki arzani nahin jati

Jagdish Sahay Saxena

azal se baada-e-hasti ki arzani nahin jati

Jagdish Sahay Saxena

MORE BYJagdish Sahay Saxena

    azal se bāda-e-hastī arzānī nahīñ jaatī

    is arzānī pe bhī us farāvānī nahīñ jaatī

    hujūm-e-ranj-o-ġham ne is qadar mujh ko rulāyā hai

    ki ab rāhat sūrat mujh se pahchānī nahīñ jaatī

    huī thī ik ḳhatā sarzad so us ko muddateñ guzrīñ

    magar ab tak mire dil se pashemānī nahīñ jaatī

    chaman-zār-e-tamannā faqat ik phuul murjhāyā

    usī din se mire gulshan vīrānī nahīñ jaatī

    mire ashkoñ se kyā nisbat tumheñ ai anjum-e-gardūñ

    ki un roz-e-raushan meñ bhī tābānī nahīñ jaatī

    mirī vahshat meñ shāyad aa chale andāz-e-ra.anā.ī

    ki zulfoñ tarah dil pareshānī nahīñ jaatī

    azal se baada-e-hasti ki arzani nahin jati

    is arzani pe bhi us ki farawani nahin jati

    hujum-e-ranj-o-gham ne is qadar mujh ko rulaya hai

    ki ab rahat ki surat mujh se pahchani nahin jati

    hui thi ek KHata sarzad so us ko muddaten guzrin

    magar ab tak mere dil se pashemani nahin jati

    chaman-zar-e-tamanna ka faqat ek phul murjhaya

    usi din se mere gulshan ki virani nahin jati

    mere ashkon se kya nisbat tumhein ai anjum-e-gardun

    ki un ki roz-e-raushan mein bhi tabani nahin jati

    meri wahshat mein shayad aa chale andaz-e-ranai

    ki zulfon ki tarah dil ki pareshani nahin jati

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now