aziz itna hi rakkho ki ji sambhal jae
aziiz itnā hī rakkho ki jī sambhal jaa.e
ab is qadar bhī na chāho ki dam nikal jaa.e
mile haiñ yuuñ to bahut aao ab mileñ yuuñ bhī
ki ruuh garmi-e-anfās se pighal jaa.e
mohabbatoñ meñ ajab hai diloñ ko dhaḌkā sā
ki jaane kaun kahāñ rāsta badal jaa.e
zahe vo dil jo tamannā-e-tāza-tar meñ rahe
ḳhoshā vo umr jo ḳhvāboñ hī meñ bahal jaa.e
maiñ vo charāġh sar-e-rahguzār-e-duniyā huuñ
jo apnī zaat kī tanhā.iyoñ meñ jal jaa.e
har ek lahza yahī aarzū yahī hasrat
jo aag dil meñ hai vo sher meñ bhī Dhal jaa.e
aziz itna hi rakkho ki ji sambhal jae
ab is qadar bhi na chaho ki dam nikal jae
mile hain yun to bahut aao ab milen yun bhi
ki ruh garmi-e-anfas se pighal jae
mohabbaton mein ajab hai dilon ko dhaDka sa
ki jaane kaun kahan rasta badal jae
zahe wo dil jo tamanna-e-taza-tar mein rahe
KHosha wo umr jo KHwabon hi mein bahal jae
main wo charagh sar-e-rahguzar-e-duniya hun
jo apni zat ki tanhaiyon mein jal jae
har ek lahza yahi aarzu yahi hasrat
jo aag dil mein hai wo sher mein bhi Dhal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.