Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baat be-baat ulajhte ho bhala baat hai kya

Asghar Abid

baat be-baat ulajhte ho bhala baat hai kya

Asghar Abid

MORE BYAsghar Abid

    baat be-bāt ulajhte ho bhalā baat hai kyā

    mere andar balāoñ se mulāqāt hai kyā

    ham to us pastī-e-ehsās pe jiite haiñ jahāñ

    ye bhī ma.alūm nahīñ jiit hai kyā maat hai kyā

    dhund meñ Duub gayā dil muhaddab adsa

    kaun batlā.e sar-e-arz-o-samāvāt hai kyā

    dard ġhār-e-hirā dil meñ kiyā hai ta.amīr

    mujh ko ma.alūm nahīñ tarz-e-ibādāt hai kyā

    ai mire lafz qad nāpne vaale ye batā

    jo aayā hai muqābil tirī auqāt hai kyā

    baat be-baat ulajhte ho bhala baat hai kya

    mere andar ki balaon se mulaqat hai kya

    hum to us pasti-e-ehsas pe jite hain jahan

    ye bhi malum nahin jit hai kya mat hai kya

    dhund mein Dub gaya dil ka muhaddab adsa

    kaun batlae sar-e-arz-o-samawat hai kya

    dard ka ghaar-e-hira dil mein kiya hai tamir

    mujh ko malum nahin tarz-e-ibaadat hai kya

    ai mere lafz ka qad napne wale ye bata

    tu jo aaya hai muqabil teri auqat hai kya

    Source:

    Ghazal Calendar-2015 (Pg. 05.02.2015)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now