bas ek raat mere ghar mein chand utra tha

Mohammad Izhar ul Haq

bas ek raat mere ghar mein chand utra tha

Mohammad Izhar ul Haq

MORE BY Mohammad Izhar ul Haq

  bas ek raat mire ghar meñ chāñd utrā thā

  phir is ke baad vahī maiñ vahī añdherā thā

  sabā narm jhoñkā thā bagūlā thā

  vo kyā thā jis ne mujhe muddatoñ rulāyā thā

  ajab uThān liye thā vo ġhairat-e-shamshād

  tabāh-hāl diloñ kahāñ Thikāna thā

  añdherī shaam thī bādal baras na paa.e the

  vo mere paas na thā aur maiñ khul ke royā thā

  zamīñ meñ dafn mujhe kar gayā hai jīte-jī

  to kyā maiñ us ke liye qīmtī ḳhazīna thā

  jhulas jhulas ke maiñ anjām-kār Duub gayā

  vo thā sarāb magar pāniyoñ gahrā thā

  nishāñ kahīñ bhī na the us uñgliyoñ ke magar

  maiñ ghar dekh ke ek ek chiiz royā thā

  jale to saath jaleñgī ye jhāḌiyāñ 'iz.hār'

  kisī ke shahr meñ to dard yuuñ na baTtā thā

  bas ek raat mere ghar mein chand utra tha

  phir is ke baad wahi main wahi andhera tha

  saba ka narm sa jhonka tha ya bagula tha

  wo kya tha jis ne mujhe muddaton rulaya tha

  ajab uThan liye tha wo ghairat-e-shamshad

  tabah-haal dilon ka kahan Thikana tha

  andheri sham thi baadal baras na pae the

  wo mere pas na tha aur main khul ke roya tha

  zamin mein dafn mujhe kar gaya hai jite-ji

  to kya main us ke liye qimti KHazina tha

  jhulas jhulas ke main anjam-kar Dub gaya

  wo tha sarab magar paniyon sa gahra tha

  nishan kahin bhi na the us ki ungliyon ke magar

  main ghar ki dekh ke ek ek chiz roya tha

  jale to sath jalengi ye jhaDiyan 'izhaar'

  kisi ke shahr mein to dard yun na baTta tha

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY