Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bas ek kashakash ka silsila hai azal se jo aaj tak raha hai

Ehsan Darbhangavi

bas ek kashakash ka silsila hai azal se jo aaj tak raha hai

Ehsan Darbhangavi

MORE BYEhsan Darbhangavi

    bas ik kashākash silsila hai azal se jo aaj tak rahā hai

    falak munkir zamīñ rahī hai zamīñ munkir falak rahā hai

    hai apne baazū pe naaz jin ko vo zor baazū aazmā leñ

    vo saaz samt kyā baḌhegā jo haath shamshīr tak rahā hai

    kahīñ na sailāb-e-karb ban kar ubal paḌe naġhma zindagī

    haTā le ab apnā haath mutrib ki saaz dil dhaḌak rahā hai

    tumhārī baḳhiya-garī musallam magar kahāñ tak rafū karoge

    mire garebāñ haal ye hai jagah jagah se masak rahā hai

    lagegī Thokar jo rāste meñ to ab na shāyad sañbhal sakeñge

    ḳhayāl ik un ham-safar thā so vo bhī dāman jhaTak rahā hai

    rivāyatoñ kamī nahīñ hai hidāyatoñ kamī nahīñ hai

    qadam qadam pe khaḌe haiñ rahbar magar zamāna bhaTak rahā hai

    mizāj teshoñ muzmahil hai uThāo sāz-e-shikasta 'ehsāñ'

    sunāo maazī ke kuchh tarāne ki haal dil dhaḌak rahā hai

    junūñ mausam jo aa rahā hai to aql dil dhaḌak rahā hai

    idhar bhī dāman pe haiñ ḳharāsheñ udhar bhī āñchal masak rahā hai

    idhar dil-e-muztarib ḳhafā hai udhar tabassum meñ bhī hayā hai

    idhar ḳhamoshī ik iltijā hai udhar takallum bahak rahā hai

    mirī nazar ko sunā rahā hai tumhārī be-tābiyoñ qissa

    vo ek saaya ba-rang-e-sho.ala jo chilmanoñ se lapak rahā hai

    havā se chilman sarak rahī hai nigāh merī ThiThak rahī hai

    ki ab parā.ī samajh ke is ko tumhārā jalva jhijak rahā hai

    tumhārī uljhan samajh rahā huuñ maiñ apne dil se ulajh rahā huuñ

    ki rāste band ho chuke haiñ to phir ye kyoñ raah tak rahā hai

    tum is taraf se guzar chukī ho magar galī gungunā rahī hai

    tumhārī pāzeb vo naġhma fazā meñ ab tak khanak rahā hai

    mai-e-mohabbat pilāne vaalī piyāla is chhalak na jaa.e

    abhī to utrī nahīñ gale se abhī se 'ehsāñ' bahak rahā hai

    bas ek kashakash ka silsila hai azal se jo aaj tak raha hai

    falak ki munkir zamin rahi hai zamin ka munkir falak raha hai

    hai apne bazu pe naz jin ko wo zor bazu ka aazma len

    wo saz ki samt kya baDhega jo hath shamshir tak raha hai

    kahin na sailab-e-karb ban kar ubal paDe naghma zindagi ka

    haTa le ab apna hath mutrib ki saz ka dil dhaDak raha hai

    tumhaari baKHiya-gari musallam magar kahan tak rafu karoge

    mere gareban ka haal ye hai jagah jagah se masak raha hai

    lagegi Thokar jo raste mein to ab na shayad sanbhal sakenge

    KHayal ek un ka ham-safar tha so wo bhi daman jhaTak raha hai

    riwayaton ki kami nahin hai hidayaton ki kami nahin hai

    qadam qadam pe khaDe hain rahbar magar zamana bhaTak raha hai

    mizaj teshon ka muzmahil hai uThao saz-e-shikasta 'ehsan'

    sunao mazi ke kuchh tarane ki haal ka dil dhaDak raha hai

    junun ka mausam jo aa raha hai to aql ka dil dhaDak raha hai

    idhar bhi daman pe hain KHarashen udhar bhi aanchal masak raha hai

    idhar dil-e-muztarib KHafa hai udhar tabassum mein bhi haya hai

    idhar KHamoshi ek iltija hai udhar takallum bahak raha hai

    meri nazar ko suna raha hai tumhaari be-tabiyon ka qissa

    wo ek saya ba-rang-e-shoala jo chilmanon se lapak raha hai

    hawa se chilman sarak rahi hai nigah meri ThiThak rahi hai

    ki ab parai samajh ke is ko tumhaara jalwa jhijak raha hai

    tumhaari uljhan samajh raha hun main apne dil se ulajh raha hun

    ki raste band ho chuke hain to phir ye kyon rah tak raha hai

    tum is taraf se guzar chuki ho magar gali gunguna rahi hai

    tumhaari pazeb ka wo naghma faza mein ab tak khanak raha hai

    mai-e-mohabbat pilane wali piyala is ka chhalak na jae

    abhi to utri nahin gale se abhi se 'ehsan' bahak raha hai

    Source:

    (Pg. 49)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now