aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

be-karan dariya hun gham ka aur tughyani mein hun

Hameed Naseem

be-karan dariya hun gham ka aur tughyani mein hun

Hameed Naseem

MORE BYHameed Naseem

    be-karāñ dariyā huuñ ġham aur tuġhyānī meñ huuñ

    sab hadeñ haiñ phir bhī qaa.em kab se hairānī meñ huuñ

    shab tanhā.ī meñ mujh ko aisā lagtā hai kabhī

    maiñ huuñ rūh-e-zindagī go paikar-e-fānī meñ huuñ

    jagmagātī mahfil-e-aflāk merā aks-e-zāt

    lau maiñ huuñ anjum maiñ sūraj tābānī meñ huuñ

    subh-gāhāñ dasht o gulshan meñ nasīm-e-narm-mauj

    biich dariyā ke bhañvar huuñ aur jaulānī meñ huuñ

    sham-e-bazm-e-dil-barāñ hai merī dil-sozī zau

    maiñ dil-e-āshiq ke ḳhvāboñ gul-afshānī meñ huuñ

    log kyuuñ is shahr ke itne pareshāñ-hāl haiñ

    maiñ ki ḳhush-dil thā sadā is pareshānī meñ huuñ

    maiñ ki huuñ ik ḳhush-fahm sāda-lauh tifl-e-pīr-sāl

    aur phir ziddī bhī huuñ ḳhush apnī nādānī meñ huuñ

    kyā ḳhabar merā safar hai aur kitnī duur

    kāġhzī ik naav huuñ aur tez-rau paanī meñ huuñ

    husn-e-kul ārzū-mand is tunuk-jānī meñ huuñ

    mere qad se jo bahut ūñchā hai us paanī meñ huuñ

    be-karan dariya hun gham ka aur tughyani mein hun

    sab haden hain phir bhi qaem kab se hairani mein hun

    shab ki tanhai mein mujh ko aisa lagta hai kabhi

    main hun ruh-e-zindagi go paikar-e-fani mein hun

    jagmagati mahfil-e-aflak mera aks-e-zat

    lau main hun anjum ki main suraj ki tabani mein hun

    subh-gahan dasht o gulshan mein nasim-e-narm-mauj

    bich dariya ke bhanwar hun aur jaulani mein hun

    sham-e-bazm-e-dil-baran hai meri dil-sozi ki zau

    main dil-e-ashiq ke KHwabon ki gul-afshani mein hun

    log kyun is shahr ke itne pareshan-haal hain

    main ki KHush-dil tha sada ka is pareshani mein hun

    main ki hun ek KHush-fahm sada-lauh tifl-e-pir-sal

    aur phir ziddi bhi hun KHush apni nadani mein hun

    kya KHabar mera safar hai aur kitni dur ka

    kaghzi ek naw hun aur tez-rau pani mein hun

    husn-e-kul ka aarzu-mand is tunuk-jaani mein hun

    mere qad se jo bahut uncha hai us pani mein hun

    Source:

    Urdu Quarterly BADBAAN (Pg. 116)

    • Author: Nasir Bagdadi
      • Edition: Oct. - Dec. 2002,Issue No 8
      • Publisher: E-2, 8/14, Mayar Square, Block No.14 Gulshane-e-Iqbal
      • Year of Publication: Oct. - Dec. 2002,Issue No 8
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now