Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bosida KHadshat ka malba dur kahin dafnao

Ali Akbar Abbas

bosida KHadshat ka malba dur kahin dafnao

Ali Akbar Abbas

MORE BYAli Akbar Abbas

    bosīda ḳhadshāt malba duur kahīñ dafnāo

    jismoñ is shahr-e-panah meñ taaza shahr basāo

    saare jism resha resha soch quvvat paa.e

    phir har saañs hāsil chāhe sadiyoñ par phailāo

    apnā aap nahīñ hai sab kuchh apne aap se niklo

    badbūeñ phailā detā hai paanī Thahrāo

    muddat se kyuuñ chaaT rahe ho lafzoñ dīvāreñ

    siine meñ maḳhfī ḳhākoñ vāzeh shakl banāo

    apnā apnā kafan utāreñ lāsheñ uḌtī jaa.eñ

    pyāsī zabāñ nikāle dhartī chāTe apne ghaao

    bosida KHadshat ka malba dur kahin dafnao

    jismon ki is shahr-e-panah mein taza shahr basao

    sare jism ka resha resha soch ki quwwat pae

    phir har sans ka hasil chahe sadiyon par phailao

    apna aap nahin hai sab kuchh apne aap se niklo

    badbuen phaila deta hai pani ka Thahrao

    muddat se kyun chaT rahe ho lafzon ki diwaren

    sine mein maKHfi KHakon ki wazeh shakl banao

    apna apna kafan utaren lashen uDti jaen

    pyasi zaban nikale dharti chaTe apne ghao

    Source:

    Ber Aab e Neel (Pg. 27)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now