chhup gae sae mein sae main akela rah gaya
chhup ga.e saa.e meñ saa.e maiñ akelā rah gayā
itne gahre abr chhā.e maiñ akelā rah gayā
maiñ akelā rah gayā to maiñ ne kuchh rishte banā.e
maiñ ne kuchh rishte banā.e maiñ akelā rah gayā
halqa-e-ahbāb kī maujūdgī meñ yuuñ huā
ek din baiThe biThā.e maiñ akelā rah gayā
kitnā mushkil hai agar is jiddatoñ ke daur meñ
koī mujh ko DhūñD laa.e maiñ akelā rah gayā
raushnī kī zad meñ hai yā tīrgī kī qaid meñ
tū kahāñ hai mere saa.e maiñ akelā rah gayā
aap se pahle kam-az-kam maiñ to apne paas thā
aap itne paas aa.e maiñ akelā rah gayā
ye gavārā hī nahīñ jo ḳhud akelā ho use
ro ke batlā.ūñ ki haa.e maiñ akelā rah gayā
chhup gae sae mein sae main akela rah gaya
itne gahre abr chhae main akela rah gaya
main akela rah gaya to main ne kuchh rishte banae
main ne kuchh rishte banae main akela rah gaya
halqa-e-ahbab ki maujudgi mein yun hua
ek din baiThe biThae main akela rah gaya
kitna mushkil hai agar is jiddaton ke daur mein
koi mujh ko DhunD lae main akela rah gaya
raushni ki zad mein hai ya tirgi ki qaid mein
tu kahan hai mere sae main akela rah gaya
aap se pahle kam-az-kam main to apne pas tha
aap itne pas aae main akela rah gaya
ye gawara hi nahin jo KHud akela ho use
ro ke batlaun ki hae main akela rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.