Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh hamare mathe par ye dasht-e-talab ki dhul miyan

Ibn e Insha

dekh hamare mathe par ye dasht-e-talab ki dhul miyan

Ibn e Insha

MORE BYIbn e Insha

    dekh hamāre māthe par ye dasht-e-talab dhuul miyāñ

    ham se ajab tirā dard naata dekh hameñ mat bhuul miyāñ

    ahl-e-vafā se baat na karnā hogā tirā usuul miyāñ

    ham kyuuñ chhoḌeñ un galiyoñ ke pheroñ ma.amūl miyāñ

    yūñhī to nahīñ dasht meñ pahuñche yūñhī to nahīñ jog liyā

    bastī bastī kāñTe dekhe jañgal jañgal phuul miyāñ

    ye to kaho kabhī ishq kiyā hai jag meñ hue ho rusvā bhii?

    is ke sivā ham kuchh bhī na pūchheñ baaqī baat fuzūl miyāñ

    nasb kareñ mehrāb-e-tamannā diida o dil ko farsh kareñ

    sunte haiñ vo kū-e-vafā meñ aaj kareñge nuzūl miyāñ

    sun to liyā kisī naar ḳhātir kaaTā koh nikālī nahr

    ek zarā se qisse ko ab dete kyuuñ ho tuul miyāñ

    khelne deñ unheñ ishq baazī kheleñge to sīkheñge

    'qais' 'farhād' ḳhātir kholeñ kyā schōl miyāñ

    ab to hameñ manzūr hai ye bhī shahr se niklīñ rusvā huuñ

    tujh ko dekhā bāteñ kar liiñ mehnat huī vasūl miyāñ

    'inshā' kyā uzr hai tum ko naqd-e-dil-o-jāñ nazr karo

    rūp-nagar ke naake par ye lagtā hai mahsūl miyāñ

    dekh hamare mathe par ye dasht-e-talab ki dhul miyan

    hum se ajab tera dard ka nata dekh hamein mat bhul miyan

    ahl-e-wafa se baat na karna hoga tera usul miyan

    hum kyun chhoDen un galiyon ke pheron ka mamul miyan

    yunhi to nahin dasht mein pahunche yunhi to nahin jog liya

    basti basti kanTe dekhe jangal jangal phul miyan

    ye to kaho kabhi ishq kiya hai jag mein hue ho ruswa bhi?

    is ke siwa hum kuchh bhi na puchhen baqi baat fuzul miyan

    nasb karen mehrab-e-tamanna dida o dil ko farsh karen

    sunte hain wo ku-e-wafa mein aaj karenge nuzul miyan

    sun to liya kisi nar ki KHatir kaTa koh nikali nahr

    ek zara se qisse ko ab dete kyun ho tul miyan

    khelne den unhen ishq ki bazi khelenge to sikhenge

    'qais' ki ya 'farhad' ki KHatir kholen kya school miyan

    ab to hamein manzur hai ye bhi shahr se niklin ruswa hun

    tujh ko dekha baaten kar lin mehnat hui wasul miyan

    'insha' ji kya uzr hai tum ko naqd-e-dil-o-jaan nazr karo

    rup-nagar ke nake par ye lagta hai mahsul miyan

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Reshma

    Reshma

    Source:

    Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 144)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now