aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh usko KHwab mein jab aankh khul jati hai subh

Taban Abdul Hai

dekh usko KHwab mein jab aankh khul jati hai subh

Taban Abdul Hai

MORE BYTaban Abdul Hai

    dekh us ko ḳhvāb meñ jab aañkh khul jaatī hai sub.h

    kyā kahūñ maiñ kyā qayāmat mujh pe tab laatī hai sub.h

    sham.a jab majlis se mah-rūoñ letī hai uThā

    kyā kahūñ kyā kyā suneñ us vaqt dikhlātī hai sub.h

    jis gorā rañg ho vo raat ko khiltā hai ḳhuub

    raushnā.ī sham.a phīkī nazar aatī hai sub.h

    paas sotā hai chanchal par gale lagtā nahīñ

    minnateñ karte saarī raat ho jaatī hai sub.h

    niiñd se uThtā hai 'tābāñ' jab mirā ḳhurshīd-rū

    dekh us ke muñh ke ta.iiñ sharmā ke chhup jaatī hai sub.h

    dekh us ko KHwab mein jab aankh khul jati hai subh

    kya kahun main kya qayamat mujh pe tab lati hai subh

    shama jab majlis se mah-ruon ki leti hai uTha

    kya kahun kya kya sunen us waqt dikhlati hai subh

    jis ka gora rang ho wo raat ko khilta hai KHub

    raushnai shama ki phiki nazar aati hai subh

    pas tu sota hai chanchal par gale lagta nahin

    minnaten karte hi sari raat ho jati hai subh

    nind se uThta hai 'taban' jab mera KHurshid-ru

    dekh us ke munh ke tain sharma ke chhup jati hai subh

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    dekh usko KHwab mein jab aankh khul jati hai subh Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now