Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ko yun le jaane wala kaun tha

Sharaf Mujaddidi

dil ko yun le jaane wala kaun tha

Sharaf Mujaddidi

MORE BYSharaf Mujaddidi

    dil ko yuuñ le jaane vaalā kaun thā

    the tumhīñ aur aane vaalā kaun thā

    hazrat-e-nāseh bhī mai piine lage

    ab mujhe samjhāne vaalā kaun thā

    saath apne dil bhī merā le gayā

    dekhnā ye jaane vaalā kaun thā

    jis ko chāhā ne us ko mil gayā

    varna tujh ko paane vaalā kaun thā

    bole qāsid se 'sharaf' ke naam par

    vo hameñ bulvāne vaalā kaun thā

    dil ko yun le jaane wala kaun tha

    the tumhin aur aane wala kaun tha

    hazrat-e-naseh bhi mai pine lage

    ab mujhe samjhane wala kaun tha

    sath apne dil bhi mera le gaya

    dekhna ye jaane wala kaun tha

    jis ko chaha tu ne us ko mil gaya

    warna tujh ko pane wala kaun tha

    bole qasid se 'sharaf' ke nam par

    wo hamein bulwane wala kaun tha

    Source:

    Deewan-e-Sharf Mujaddidi (Pg. 3)

    • Author: Abdul Qadir Mujaddidi
      • Edition: 1937
      • Publisher: Raees-ul-Matabe, Kanpur
      • Year of Publication: 1937
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now