aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gae dinon ka suragh le kar kidhar se aaya kidhar gaya wo

Nasir Kazmi

gae dinon ka suragh le kar kidhar se aaya kidhar gaya wo

Nasir Kazmi

MORE BYNasir Kazmi

    ga.e dinoñ surāġh le kar kidhar se aayā kidhar gayā vo

    ajiib mānūs ajnabī thā mujhe to hairān kar gayā vo

    bas ek motī chhab dikhā kar bas ek mīThī dhun sunā kar

    sitāra-e-shām ban ke aayā ba-rañg-e-ḳhvāb-e-sahar gayā vo

    ḳhushī rut ho ki ġham mausam nazar use DhūñDtī hai har dam

    vo bū-e-gul thā ki naġhma-e-jāñ mire to dil meñ utar gayā vo

    na ab vo yādoñ chaḌhtā dariyā na fursatoñ udaas barkhā

    yūñhī zarā kasak hai dil meñ jo zaḳhm gahrā thā bhar gayā vo

    kuchh ab sambhalne lagī hai jaañ bhī badal chalā daur-e-āsmāñ bhī

    jo raat bhārī thī Tal ga.ī hai jo din kaḌā thā guzar gayā vo

    bas ek manzil hai bul-havas hazār raste haiñ ahl-e-dil ke

    yahī to hai farq mujh meñ us meñ guzar gayā maiñ Thahar gayā vo

    shikasta-pā raah meñ khaḌā huuñ ga.e dinoñ ko bulā rahā huuñ

    jo qāfila merā ham-safar thā misāl-e-gard-e-safar gayā vo

    mirā ḳhuuñ ho gayā hai paanī sitamgaroñ palak na bhīgī

    jo naala uTThā thā raat dil se na jaane kyuuñ be-asar gayā vo

    vo mai-kade ko jagāne vaalā vo raat niiñd uḌāne vaalā

    ye aaj kyā us ke meñ aa.ī ki shaam hote ghar gayā vo

    vo hijr raat sitāra vo ham-nafas ham-suḳhan hamārā

    sadā rahe us naam pyārā sunā hai kal raat mar gayā vo

    vo jis ke shāne pe haath rakh kar safar kiyā ne manziloñ

    tirī galī se na jaane kyuuñ aaj sar jhukā.e guzar gayā vo

    vo raat be-navā musāfir vo terā shā.ir vo terā 'nāsir'

    tirī galī tak to ham ne dekhā thā phir na jaane kidhar gayā vo

    gae dinon ka suragh le kar kidhar se aaya kidhar gaya wo

    ajib manus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo

    bas ek moti si chhab dikha kar bas ek miThi si dhun suna kar

    sitara-e-sham ban ke aaya ba-rang-e-KHwab-e-sahar gaya wo

    KHushi ki rut ho ki gham ka mausam nazar use DhunDti hai har dam

    wo bu-e-gul tha ki naghma-e-jaan mere to dil mein utar gaya wo

    na ab wo yaadon ka chaDhta dariya na fursaton ki udas barkha

    yunhi zara si kasak hai dil mein jo zaKHm gahra tha bhar gaya wo

    kuchh ab sambhalne lagi hai jaan bhi badal chala daur-e-asman bhi

    jo raat bhaari thi Tal gai hai jo din kaDa tha guzar gaya wo

    bas ek manzil hai bul-hawas ki hazar raste hain ahl-e-dil ke

    yahi to hai farq mujh mein us mein guzar gaya main Thahar gaya wo

    shikasta-pa rah mein khaDa hun gae dinon ko bula raha hun

    jo qafila mera ham-safar tha misal-e-gard-e-safar gaya wo

    mera tu KHun ho gaya hai pani sitamgaron ki palak na bhigi

    jo nala uTTha tha raat dil se na jaane kyun be-asar gaya wo

    wo mai-kade ko jagane wala wo raat ki nind uDane wala

    ye aaj kya us ke ji mein aai ki sham hote hi ghar gaya wo

    wo hijr ki raat ka sitara wo ham-nafas ham-suKHan hamara

    sada rahe us ka nam pyara suna hai kal raat mar gaya wo

    wo jis ke shane pe hath rakh kar safar kiya tu ne manzilon ka

    teri gali se na jaane kyun aaj sar jhukae guzar gaya wo

    wo raat ka be-nawa musafir wo tera shair wo tera 'nasir'

    teri gali tak to hum ne dekha tha phir na jaane kidhar gaya wo

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Zehra Nigaah

    Zehra Nigaah

    Habib Wali Mohammad

    Habib Wali Mohammad

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    gae dinon ka suragh le kar kidhar se aaya kidhar gaya wo Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now