ghamgin nahin hun dahr mein to shad bhi nahin

Bahram ji

ghamgin nahin hun dahr mein to shad bhi nahin

Bahram ji

MORE BYBahram ji

  ġhamgīñ nahīñ huuñ dahr meñ to shaad bhī nahīñ

  ābād agar nahīñ huuñ to barbād bhī nahīñ

  miltī tirī vafā mujhe daad bhī nahīñ

  majnūñ nahīñ hai dahr meñ farhād bhī nahīñ

  kahtā hai yaar jurm paate ho tum sazā

  insāf agar nahīñ hai to be-dād bhī nahīñ

  insāñ qadr kyā hai jo ho tere rū-ba-rū

  tere muqāble meñ parī-zād bhī nahīñ

  afsos kis se yaar khinchvā.iye shabīh

  'mānī' nahīñ jahāñ meñ hai 'bahzād' bhī nahīñ

  kartā hai uzr-e-jaur-o-jafā yaar abas

  honā jo thā huā vo hameñ yaad bhī nahīñ

  kushta huā huuñ abrū-e-ḳhamdār-e-yār

  mere liye zarūrat-e-jallād bhī nahīñ

  hasrat bhare hue ga.e duniyā se saikaḌoñ

  tasdīq kis se kījiye shaddād bhī nahīñ

  'bahrām' mere zor-e-tabī.at se hai suḳhan

  shāgird maiñ nahīñ huuñ to ustād bhī nahīñ

  ghamgin nahin hun dahr mein to shad bhi nahin

  aabaad agar nahin hun to barbaad bhi nahin

  milti teri wafa ki mujhe dad bhi nahin

  majnun nahin hai dahr mein farhad bhi nahin

  kahta hai yar jurm ki pate ho tum saza

  insaf agar nahin hai to be-dad bhi nahin

  insan ki qadr kya hai jo ho tere ru-ba-ru

  tere muqable mein pari-zad bhi nahin

  afsos kis se yar ki khinchwaiye shabih

  'mani' nahin jahan mein hai 'bahzad' bhi nahin

  karta hai uzr-e-jaur-o-jafa yar tu abas

  hona jo tha hua wo hamein yaad bhi nahin

  kushta hua hun abru-e-KHamdar-e-yar ka

  mere liye zarurat-e-jallad bhi nahin

  hasrat bhare hue gae duniya se saikaDon

  tasdiq kis se kijiye shaddad bhi nahin

  'bahram' mere zor-e-tabiat se hai suKHan

  shagird main nahin hun to ustad bhi nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY