Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

girne ki tarah ka na sambhalne ki tarah ka

Zafar Iqbal

girne ki tarah ka na sambhalne ki tarah ka

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    girne tarah na sambhalne tarah

    saarā vo safar ḳhvāb meñ chalne tarah

    bārish bahut tez havā meñ kahīñ mujh ko

    darpesh thā ik marhala jalne tarah

    ik chāñd ubharne tarah mire bāhar

    sūraj mire andar koī Dhalne tarah

    aisā hai ki rahtā hai sadā saath bhī us ke

    manzar koī poshāk badalne tarah

    uḌtī huī ret vahī dasht meñ har-sū

    paanī vahī dariyā meñ uchhalne tarah

    kaisī ye ḳhizāñ chhā.ī hai mujh meñ ki sarāsar

    mausam hai vahī phūlne phalne tarah

    kyā dil bharosā hai ki is aab o havā meñ

    vaise ye paudā nahīñ palne tarah

    mālūm bhī thā mujh ko magar bhuul chukā huuñ

    rasta koī jañgal se nikalne tarah

    maiñ to yahī samjhā 'zafar' is baar bhī shāyad

    mujh par ye burā vaqt hai Talne tarah

    girne ki tarah ka na sambhalne ki tarah ka

    sara wo safar KHwab mein chalne ki tarah ka

    barish ki bahut tez hawa mein kahin mujh ko

    darpesh tha ek marhala jalne ki tarah ka

    ek chand ubharne ki tarah ka mere bahar

    suraj mere andar koi Dhalne ki tarah ka

    aisa hai ki rahta hai sada sath bhi us ke

    manzar koi poshak badalne ki tarah ka

    uDti hui si ret wahi dasht mein har-su

    pani wahi dariya mein uchhalne ki tarah ka

    kaisi ye KHizan chhai hai mujh mein ki sarasar

    mausam hai wahi phulne phalne ki tarah ka

    kya dil ka bharosa hai ki is aab o hawa mein

    waise hi ye pauda nahin palne ki tarah ka

    malum bhi tha mujh ko magar bhul chuka hun

    rasta koi jangal se nikalne ki tarah ka

    main to yahi samjha 'zafar' is bar bhi shayad

    mujh par ye bura waqt hai Talne ki tarah ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now