aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guman na kyunki karun tujh pe dil churane ka

Mamnoon Nizamuddin

guman na kyunki karun tujh pe dil churane ka

Mamnoon Nizamuddin

MORE BYMamnoon Nizamuddin

    gumāñ na kyūñki karūñ tujh pe dil churāne

    jhukā ke aañkh sabab kyā hai muskurāne

    ye siina hai ye jigar hai ye dil hai bismillāh

    agar ḳhayāl hai talvār āzmāne

    kisī ke hoñTh ke milte ham tamām hue

    mazā milā na hameñ gāliyāñ bhī khāne

    mujhe ye dard hai mālūm hukm-e-bulbul bin

    na merī ḳhaak pe kar qasd phuul laane

    kiyā farefta kah kah ke hāl-e-dil us ko

    asar fusūñ se nahīñ kuchh kam is fasāne

    ġhamoñ gar yahī bālīdgī hai to āḳhir

    dil-e-girafta nahīñ siine meñ samāne

    guman na kyunki karun tujh pe dil churane ka

    jhuka ke aankh sabab kya hai muskurane ka

    ye sina hai ye jigar hai ye dil hai bismillah

    agar KHayal hai talwar aazmane ka

    kisi ke honTh ke milte hi hum tamam hue

    maza mila na hamein galiyan bhi khane ka

    mujhe ye dard hai malum hukm-e-bulbul bin

    na meri KHak pe kar qasd phul lane ka

    kiya farefta kah kah ke haal-e-dil us ko

    asar fusun se nahin kuchh kam is fasane ka

    ghamon ki gar yahi baalidgi hai to aaKHir

    dil-e-girafta nahin sine mein samane ka

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    guman na kyunki karun tujh pe dil churane ka Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now