Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hath rakhte hi tha haal-e-qalb-e-muztar aaina

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

hath rakhte hi tha haal-e-qalb-e-muztar aaina

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    haath rakhte thā hāl-e-qalb-e-muztar ā.īna

    dast-e-nāzuk hai hasīnoñ muqarrar ā.īna

    ban gayā ġhammāz shakl un dikhā kar ā.īna

    jo hamārā rāz-e-dil thā ab hai un par ā.īna

    toḌ kar dil tum ne khoyā imtiyāz-e-husn bhī

    ik tumhāre paas thā ab hai ghar ghar ā.īna

    dekhnā hai kis meñ achchhī shakl aatī hai nazar

    us ne rakkhā hai mire dil ke barābar ā.īna

    aa.ina rakkho lo ki duunā lutf aa.e vaqt-e-rañj

    is taraf tum us taraf khīñche ho ḳhanjar ā.īna

    'aks se apne kisī ke garm-joshī qahr thī

    rah gayā āḳhir pasīne meñ nahā kar ā.īna

    shauq-e-ḳhud-bīnī sitam nīñdeñ javānī ġhazab

    be-ḳhabar sote haiñ vo rakkhā hai muñh par ā.īna

    shoḳhiyoñ se ban gayā bijlī kisī 'aks bhī

    ab to hāthoñ se nikaltā hai taḌap kar ā.īna

    yuuñ kahāñ mumkin thā husn-e-ḳhās dīdār-e-ām

    ban ga.ī āḳhir sarāpā sub.h-e-mahshar ā.īna

    dekh leñ shāyad 'nazar' vo dīda-e-insāf se

    le chalo TuuTe hue dil banā kar ā.īna

    hath rakhte hi tha haal-e-qalb-e-muztar aaina

    dast-e-nazuk hai hasinon ka muqarrar aaina

    ban gaya ghammaz shakl un ki dikha kar aaina

    jo hamara raaz-e-dil tha ab hai un par aaina

    toD kar dil tum ne khoya imtiyaz-e-husn bhi

    ek tumhaare pas tha ya ab hai ghar ghar aaina

    dekhna hai kis mein achchhi shakl aati hai nazar

    us ne rakkha hai mere dil ke barabar aaina

    aaina rakkho lo ki duna lutf aae waqt-e-ranj

    is taraf tum us taraf khinche ho KHanjar aaina

    'aks se apne kisi ke garm-joshi qahr thi

    rah gaya aaKHir pasine mein naha kar aaina

    shauq-e-KHud-bini sitam ninden jawani ki ghazab

    be-KHabar sote hain wo rakkha hai munh par aaina

    shoKHiyon se ban gaya bijli kisi ka 'aks bhi

    ab to hathon se nikalta hai taDap kar aaina

    yun kahan mumkin tha husn-e-KHas ka didar-e-am

    ban gai aaKHir sarapa subh-e-mahshar aaina

    dekh len shayad 'nazar' wo dida-e-insaf se

    le chalo TuTe hue dil ka bana kar aaina

    Source:

    Deewan-e-Sharf Mujaddidi (Pg. ebook-30 page-8)

    • Author: Abdul Qadir Mujaddidi
      • Edition: 1937
      • Publisher: Raees-ul-Matabe, Kanpur
      • Year of Publication: 1937
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now