Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hadon ke na hone ki zillat se haare hue

Riyaz Latif

hadon ke na hone ki zillat se haare hue

Riyaz Latif

MORE BYRiyaz Latif

    hadoñ ke na hone zillat se haare hue

    abad ke mujassam kināre hamāre hue

    nafas ke dayāroñ meñ gholā thā ik lams

    nikal aa.e saare falak se utāre hue

    ab apnī nafī meñ zarā ġhota-zan ho leñ

    ki sadiyāñ huiiñ ḳhud ko ḳhud se ubhāre hue

    parā.ī siyāhī āġhosh meñ kyā mile

    jo ḳhud dil zad par jale vo sitāre hue

    ḳhudā ḳhamoshī meñ shāyad ho us vajūd

    zamāna huā naam apnā pukāre hue

    adhūre jahānoñ ke tevar adhūre 'riyāz'

    ye sab merī takmīl ke isti.āre hue

    hadon ke na hone ki zillat se haare hue

    abad ke mujassam kinare hamare hue

    nafas ke dayaron mein ghola tha ek lams hi

    nikal aae sare falak se utare hue

    ab apni nafi mein zara ghota-zan ho hi len

    ki sadiyan huin KHud ko KHud se ubhaare hue

    parai siyahi ki aaghosh mein kya mile

    jo KHud dil ki zad par jale wo sitare hue

    KHuda ki KHamoshi mein shayad ho us ka wajud

    zamana hua nam apna pukare hue

    adhure jahanon ke tewar adhure 'riyaz'

    ye sab meri takmil ke istiare hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now