Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai aam azal hi se faizan mohabbat ka

Qadr Oraizi

hai aam azal hi se faizan mohabbat ka

Qadr Oraizi

MORE BYQadr Oraizi

    hai aam azal se faizān mohabbat

    imkān musallam hai imkān mohabbat

    toḌā nahīñ saktā paimān mohabbat

    nuqsān ḳhud apnā hai nuqsān mohabbat

    phir un nigāhoñ se Takrā.ī mirī nazreñ

    phir baḌhne lagā dil meñ tūfān mohabbat

    ek ek tamannā meñ lākhoñ haiñ tamannā.eñ

    armānoñ duniyā hai armān mohabbat

    is vāste muslim fitrat meñ mohabbat hai

    detā hai sabaq us ko qur.ān mohabbat

    barbād-e-mohabbat hālat hai ajab hālat

    hai be-sar-o-sāmānī sāmān mohabbat

    jazbāt mohabbat ke maiñ laakh chhupātā huuñ

    kartī haiñ mirī nazreñ elaan mohabbat

    goyā mire siine meñ mīzān-e-mohabbat hai

    yuuñ dil meñ jigar meñ hai paikān mohabbat

    vo nuur partav hai husn partav hai

    hai diin mohabbat īmān mohabbat

    jo dard hāmil hai vo zauq meñ kāmil hai

    behis ko nahīñ hotā īqān mohabbat

    ijmāl ye be-shak hai tafsīl ā.īna

    mazmūn pe haavī hai unvān mohabbat

    haiñ us ke tasavvur ko ghere hue armāñ sab

    rahtā hai faqīroñ meñ sultān mohabbat

    aatī hai nazar us meñ iḳhlās har sūrat

    ā.īna hai ā.īna insān mohabbat

    nairañg mohabbat har sher se zāhir hai

    hai 'qadr' dīvāñ bhī dīvān mohabbat

    hai aam azal hi se faizan mohabbat ka

    imkan musallam hai imkan mohabbat ka

    toDa nahin ja sakta paiman mohabbat ka

    nuqsan KHud apna hai nuqsan mohabbat ka

    phir un ki nigahon se Takrai meri nazren

    phir baDhne laga dil mein tufan mohabbat ka

    ek ek tamanna mein lakhon hain tamannaen

    armanon ki duniya hai arman mohabbat ka

    is waste muslim ki fitrat mein mohabbat hai

    deta hai sabaq us ko quran mohabbat ka

    barbaad-e-mohabbat ki haalat hai ajab haalat

    hai be-sar-o-samani saman mohabbat ka

    jazbaat mohabbat ke main lakh chhupata hun

    karti hain meri nazren elan mohabbat ka

    goya mere sine mein mizan-e-mohabbat hai

    yun dil mein jigar mein hai paikan mohabbat ka

    wo nur ka partaw hai ya husn ka partaw hai

    hai din mohabbat ka iman mohabbat ka

    jo dard ka hamil hai wo zauq mein kaamil hai

    behis ko nahin hota iqan mohabbat ka

    ijmal ye be-shak hai tafsil ka aaina

    mazmun pe hawi hai unwan mohabbat ka

    hain us ke tasawwur ko ghere hue arman sab

    rahta hai faqiron mein sultan mohabbat ka

    aati hai nazar us mein iKHlas ki har surat

    aaina hai aaina insan mohabbat ka

    nairang mohabbat ka har sher se zahir hai

    hai 'qadr' ka diwan bhi diwan mohabbat ka

    Source:

    Izhar-e-Khayal (Pg. B-33 E-49)

    • Author: Qadr Oraizi
      • Edition: 1969
      • Publisher: Idara-e-Qadr-e-Adab, Hyderabad
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now