aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hansna rona pana khona marna jina pani par

Akhilesh Tiwari

hansna rona pana khona marna jina pani par

Akhilesh Tiwari

MORE BYAkhilesh Tiwari

    hañsnā ronā paanā khonā marnā jiinā paanī par

    paḌhiye to kyā kyā likkhā hai dariyā peshānī par

    mahñgā.ī hai daam mileñge sochā thā ham ne lekin

    sharminda ho kar lauTe haiñ ḳhvāboñ arzānī par

    ab tak ujḌe-pan meñ shāyad kuchh nazzāroñ laa.eq hai

    varna jamghaT kyuuñ umDā rahtā hai is vīrānī par

    raat jo āñkhoñ meñ chamke jugnū maiñ un shāhid huuñ

    aap bhale charchā kariye ab sūraj tābānī par

    sub.h-saverā daftar biivī bachche mahfil nīndeñ raat

    yaar kisī ko mushkil bhī hotī hai is āsānī par

    us sapnoñ vaalī pariyāñ kyuuñ maiñ dekh nahīñ paatā

    bachcha hairāñ hai mujh par maiñ bachche hairānī par

    ek achhūtā manzar mujh ko chhū kar guzrā thā ab to

    pachhtānā hai ḳhud meñ Duube rahne nādānī par

    ham fankāroñ fitrat se vāqif ho tum to 'akhilesh'

    maqsad samho ruk mat jaanā bas lafzoñ ke ma.anī par

    hansna rona pana khona marna jina pani par

    paDhiye to kya kya likkha hai dariya ki peshani par

    mahngai hai dam milenge socha tha hum ne lekin

    sharminda ho kar lauTe hain KHwabon ki arzani par

    ab tak ujDe-pan mein shayad kuchh nazzaron laeq hai

    warna jamghaT kyun umDa rahta hai is virani par

    raat jo aankhon mein chamke jugnu main un ka shahid hun

    aap bhale charcha kariye ab suraj ki tabani par

    subh-sawera daftar biwi bachche mahfil ninden raat

    yar kisi ko mushkil bhi hoti hai is aasani par

    us ki sapnon wali pariyan kyun main dekh nahin pata

    bachcha hairan hai mujh par main bachche ki hairani par

    ek achhuta manzar mujh ko chhu kar guzra tha ab to

    pachhtana hai KHud mein Dube rahne ki nadani par

    hum fankaron ki fitrat se waqif ho tum to 'akhilesh'

    maqsad samho ruk mat jaana bas lafzon ke mani par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now