Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har moD pe safar tha ajab bolne na pae

Aleem Saba Navedi

har moD pe safar tha ajab bolne na pae

Aleem Saba Navedi

MORE BYAleem Saba Navedi

    har moḌ pe safar thā ajab bolne na paa.e

    manzil milī jo dard lab bolne na paa.e

    likhvā diye haiñ auroñ ne dīvār-o-dar pe naam

    ik ham the apnā nām-o-nasab bolne na paa.e

    ghar jal rahā thā sab ke laboñ par dhuāñ thā

    kis kis pe kyā huā thā ġhazab bolne na paa.e

    sapnoñ garm chādareñ oḌhe hue the log

    utrī thī dhuup shahr meñ kab bolne na paa.e

    ham bolte rahe haiñ lab-e-fikr se 'sabā'

    kuchh log apne-āp se jab bolne na paa.e

    har moD pe safar tha ajab bolne na pae

    manzil mili jo dard ki lab bolne na pae

    likhwa diye hain auron ne diwar-o-dar pe nam

    ek hum the apna nam-o-nasab bolne na pae

    ghar jal raha tha sab ke labon par dhuan sa tha

    kis kis pe kya hua tha ghazab bolne na pae

    sapnon ki garm chadaren oDhe hue the log

    utri thi dhup shahr mein kab bolne na pae

    hum bolte rahe hain lab-e-fikr se 'saba'

    kuchh log apne-ap se jab bolne na pae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now