Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaba-o-but-KHana walon se juda baiThe hain hum

Hatim Ali Mehr

kaba-o-but-KHana walon se juda baiThe hain hum

Hatim Ali Mehr

MORE BYHatim Ali Mehr

    ka.aba-o-but-ḳhāna vāloñ se judā baiThe haiñ ham

    ik but-e-nā-āshnā se dil lagā baiThe haiñ ham

    aap se apne ko dīvāna banā baiThe haiñ ham

    kū-e-jānāñ chhoḌ ke jañgal meñ aa baiThe haiñ ham

    kyuuñ mukaddar kar diyā nāzuk-mizājoñ mizāj

    kūcha-e-jānāñ se chal ai sabā baiThe haiñ ham

    ye duā ka.aba meñ karte haiñ ki us but se milā

    tere darvāza par aa kar ai ḳhudā baiThe haiñ ham

    vo to kahte haiñ ki uTh jaa.eñ mere kūcha se aap

    haa.e kitnī ho ga.ī haiñ be-hayā baiThe haiñ ham

    sargirānī hai abas ham ḳhāksāroñ se tumheñ

    to miTne ko basān-e-naqsh-e-pā baiThe haiñ ham

    apnā bātin ḳhuub hai zāhir se bhī ai jān-e-jāñ

    aañkh ke laḌne se pahle laḌā baiThe haiñ ham

    maiñ to kahtā huuñ ki bazm-e-ġhair hai yaañ se uTho

    aur vo kahte haiñ mujh se tujh ko kyā baiThe haiñ ham

    hameñ uThvā diyā uTh ga.e haiñ aap vo

    gar kabhī majlis meñ bhī paas un ke baiThe haiñ ham

    bazm-e-tasvīr apnī sohbat ho ga.ī hai in dinoñ

    āshnā din meñ bhī ab nā-āshnā baiThe haiñ ham

    paḌ gayā hai haath jab añgiyā pe us ḳhush-gāt

    sūrat-e-shahbāz chiḌiyā ko dabā baiThe haiñ ham

    guhar se uThne nahīñ bāhar nahīñ rakhne ke paaoñ

    yaar ke sar qasam ai 'mehr' khā baiThe haiñ ham

    kaba-o-but-KHana walon se juda baiThe hain hum

    ek but-e-na-ashna se dil laga baiThe hain hum

    aap se apne ko diwana bana baiThe hain hum

    ku-e-jaanan chhoD ke jangal mein aa baiThe hain hum

    kyun mukaddar kar diya nazuk-mizajon ka mizaj

    kucha-e-jaanan se chal ja ai saba baiThe hain hum

    ye dua kaba mein karte hain ki us but se mila

    tere darwaza par aa kar ai KHuda baiThe hain hum

    wo to kahte hain ki uTh jaen mere kucha se aap

    hae kitni ho gai hain be-haya baiThe hain hum

    sargirani hai abas hum KHaksaron se tumhein

    ya to miTne ko basan-e-naqsh-e-pa baiThe hain hum

    apna baatin KHub hai zahir se bhi ai jaan-e-jaan

    aankh ke laDne se pahle ji laDa baiThe hain hum

    main to kahta hun ki bazm-e-ghair hai yan se uTho

    aur wo kahte hain mujh se tujh ko kya baiThe hain hum

    ya hamein uThwa diya ya uTh gae hain aap wo

    gar kabhi majlis mein bhi pas un ke ja baiThe hain hum

    bazm-e-taswir apni sohbat ho gai hai in dinon

    aashna din mein bhi ab na-ashna baiThe hain hum

    paD gaya hai hath jab angiya pe us KHush-gat ki

    surat-e-shahbaz chiDiya ko daba baiThe hain hum

    guhar se uThne ki nahin bahar nahin rakhne ke paon

    yar ke sar ki qasam ai 'mehr' kha baiThe hain hum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now