aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husn-e-takmil-e-tamanna hai saba ho jaana

Ishrat Rumani

husn-e-takmil-e-tamanna hai saba ho jaana

Ishrat Rumani

MORE BYIshrat Rumani

    husn-e-takmīl-e-tamannā hai sabā ho jaanā

    shahr-dar-shahr har ik dil ravā ho jaanā

    paas aa aa ke har ik lamha bichhaḌnā terā

    jaise ḳhushbū rag-e-gul se judā ho jaanā

    is tarah TuuT ke barse haiñ garajte bādal

    jaise jaagī huī āñkhoñ sadā ho jaanā

    zindagī ne ka.ī rañg bhare haiñ paiham

    zulf-e-shab-rañg kabhī rañg-e-hinā ho jaanā

    kitne ban-bās liye phir bhī tire saath rahe

    ham ne sochā nahīñ tujh se judā ho jaanā

    jāñ-gusil vaqt tasvīr adhūrī rakh

    ham ne chāhā nahīñ har rañg ho jaanā

    khetiyāñ suukh ga.iiñ ḳhushk hue dil ke nagar

    bāvar aayā hameñ paanī havā ho jaanā

    bujh ga.e rāh-e-tamannā meñ hazāroñ jugnū

    tum mire vāste naqsh-e-kaf-e-pā ho jaanā

    ye bhī mumkin nahīñ ai dost to sab ḳhātir

    chāñdnī ban ke kahīñ jalva-numā ho jaanā

    husn-e-takmil-e-tamanna hai saba ho jaana

    shahr-dar-shahr har ek dil ki rawa ho jaana

    pas aa aa ke har ek lamha bichhaDna tera

    jaise KHushbu ka rag-e-gul se juda ho jaana

    is tarah TuT ke barse hain garajte baadal

    jaise jagi hui aankhon ki sada ho jaana

    zindagi tu ne kai rang bhare hain paiham

    zulf-e-shab-rang kabhi rang-e-hina ho jaana

    kitne ban-bas liye phir bhi tere sath rahe

    hum ne socha hi nahin tujh se juda ho jaana

    jaan-gusil waqt ki taswir adhuri rakh di

    hum ne chaha nahin har rang ka wa ho jaana

    khetiyan sukh gain KHushk hue dil ke nagar

    bawar aaya hamein pani ka hawa ho jaana

    bujh gae rah-e-tamanna mein hazaron jugnu

    tum mere waste naqsh-e-kaf-e-pa ho jaana

    ye bhi mumkin nahin ai dost to sab ki KHatir

    chandni ban ke kahin jalwa-numa ho jaana

    Source:

    Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 163)

    • Author: Naseer Ahmed Nasir
      • Edition: Issue No. 5,6 April To Sep. 1998
      • Publisher: Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore
      • Year of Publication: Issue No. 5,6 April To Sep. 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now