Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek safar hota raha aur ruk gai main

Ruchi Darolia

ek safar hota raha aur ruk gai main

Ruchi Darolia

MORE BYRuchi Darolia

    ik safar hotā rahā aur ruk ga.ī maiñ

    chal rahā thā rāsta aur ruk ga.ī maiñ

    ishq thā donoñ ko fitrat muḳhtalif thī

    vo bhaTaktā rahā aur ruk ga.ī maiñ

    har dafa āvāz sun kar maiñ palaT

    phir na jaane kyā huā aur ruk ga.ī maiñ

    yaad ke lamhe meñ ik arsa bitāyā

    vaqt āñkhoñ se bahā aur ruk ga.ī maiñ

    lams kaisā asar sāñsoñ pe hogā

    khel meñ us ne chhuā aur ruk ga.ī maiñ

    is qadar āñkhoñ se us ko liyā thā

    mujh meñ vo bahtā rahā aur ruk ga.ī maiñ

    rahī thī chhoḌ kar kirdār apnā

    naam aayā aap aur ruk ga.ī maiñ

    ek safar hota raha aur ruk gai main

    chal raha tha rasta aur ruk gai main

    ishq tha donon ko fitrat muKHtalif thi

    wo bhaTakta hi raha aur ruk gai main

    har dafa aawaz sun kar main palaT di

    phir na jaane kya hua aur ruk gai main

    yaad ke lamhe mein ek arsa bitaya

    waqt aankhon se baha aur ruk gai main

    lams ka kaisa asar sanson pe hoga

    khel mein us ne chhua aur ruk gai main

    is qadar aankhon se us ko pi liya tha

    mujh mein wo bahta raha aur ruk gai main

    ja rahi thi chhoD kar kirdar apna

    nam aaya aap ka aur ruk gai main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now