Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek zarurat hai jo tahwil tak aa pahunchi hai

Misdaque Azmi

ek zarurat hai jo tahwil tak aa pahunchi hai

Misdaque Azmi

MORE BYMisdaque Azmi

    ik zarūrat hai jo tahvīl tak aa pahuñchī hai

    har haqīqat yahāñ tamsīl tak aa pahuñchī hai

    ab uḳhuvvat pe bharosa nahīñ kartī duniyā

    āgahī niyyat-e-qābīl tak aa pahuñchī hai

    ai mire mūnis o ġham-ḳhvār mujhe marne de

    baat ab hukm ta.amīl tak aa pahuñchī hai

    ab suḳhan-var nahīñ ḳhud ko musavvir likhiye

    shā.erī ab fan-e-tashkīl tak aa pahuñchī hai

    koshish-e-amn-o-amān meñ yahāñ logoñ

    zindagī shorish-e-tāvīl tak aa pahuñchī hai

    be-hisī dekhiye is daur ke insānoñ

    jism kyā ruuh tahlīl tak aa pahuñchī hai

    fikr-e-'misdāq' ne hai ḳhaas masāfat kar

    aap aañkh bhī is jhiil tak aa pahuñchī hai

    ek zarurat hai jo tahwil tak aa pahunchi hai

    har haqiqat yahan tamsil tak aa pahunchi hai

    ab uKHuwwat pe bharosa nahin karti duniya

    aagahi niyyat-e-qabil tak aa pahunchi hai

    ai mere munis o gham-KHwar mujhe marne de

    baat ab hukm ki tamil tak aa pahunchi hai

    ab suKHan-war hi nahin KHud ko musawwir likhiye

    shaeri ab fan-e-tashkil tak aa pahunchi hai

    koshish-e-amn-o-aman mein hi yahan logon ki

    zindagi shorish-e-tawil tak aa pahunchi hai

    be-hisi dekhiye is daur ke insanon ki

    jism kya ruh ki tahlil tak aa pahunchi hai

    fikr-e-'misdaq' ne hai KHas masafat kar li

    aap ki aankh bhi is jhil tak aa pahunchi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now