Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

in ujDi bastiyon ka koi to nishan rahe

Ezaz Ahmad Azar

in ujDi bastiyon ka koi to nishan rahe

Ezaz Ahmad Azar

MORE BYEzaz Ahmad Azar

    in ujḌī bastiyoñ koī to nishāñ rahe

    chūlhe jaleñ ki ghar jaleñ par dhuāñ rahe

    nero ne bañsrī na.ī taan chheḌ

    ab rome nasīb faqat dāstāñ rahe

    paanī samundaroñ na chhalnī se māpiye

    aisā na ho ki saarā kiyā rā.egāñ rahe

    mujh ko supurd-e-ḳhāk karo is duā ke saath

    āñgan meñ phuul khilte raheñ aur makāñ rahe

    kaaTī hai umr raat pahnā.iyoñ ke saath

    ham shahr-e-be-charāġh meñ ai be-kasāñ rahe

    'āzar' har ek gaam pe kaaTā hai sañg-e-jabr

    hāthoñ meñ tesha sāmne koh-e-girāñ rahe

    in ujDi bastiyon ka koi to nishan rahe

    chulhe jalen ki ghar hi jalen par dhuan rahe

    nero ne bansri ki nai tan chheD di

    ab rome ka nasib faqat dastan rahe

    pani samundaron ka na chhalni se mapiye

    aisa na ho ki sara kiya raegan rahe

    mujh ko supurd-e-KHak karo is dua ke sath

    aangan mein phul khilte rahen aur makan rahe

    kaTi hai umr raat ki pahnaiyon ke sath

    hum shahr-e-be-charagh mein ai be-kasan rahe

    'azar' har ek gam pe kaTa hai sang-e-jabr

    hathon mein tesha samne koh-e-giran rahe

    Source:

    Pakistani Adab (Pg. 329)

    • Author: Dr. Rashid Amjad
      • Edition: 2009
      • Publisher: Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now