Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is aalam-e-pur-dard mein dukh sab ka KHuda hai

Ahmad Sageer

is aalam-e-pur-dard mein dukh sab ka KHuda hai

Ahmad Sageer

MORE BYAhmad Sageer

    is ālam-e-pur-dard meñ dukh sab ḳhudā hai

    dil bārgah-e-dukh meñ aqīdat se khaḌā hai

    ai shām-nashīñ raat tahvīl meñ aa

    ik ḳhvāb terī rāhguzar dekh rahā hai

    qum-be-iznil-ishq se dil zinda karegā

    ye mujh se mohabbat ke masīhā ne kahā hai

    dānista kabhī chhū ke vo lazzat nahīñ paa.ī

    jo lutf kisī lams ke dhoke se milā hai

    sāvan ke pujārī se kaho kyā karegā

    is baar to āñkhoñ meñ ġhazab call paḌā hai

    vo koī qayāmat nahīñ bas āfat-e-jāñ thā

    bekār tere shahr meñ ik hashr bapā hai

    sab haar diye jaane ġham chhoḌ yudhishthir

    mādho taraf se ye shubhārambh huā hai

    is aalam-e-pur-dard mein dukh sab ka KHuda hai

    dil bargah-e-dukh mein aqidat se khaDa hai

    ai sham-nashin raat ki tahwil mein aa ja

    ek KHwab teri rahguzar dekh raha hai

    qum-be-iznil-ishq se dil zinda karega

    ye mujh se mohabbat ke masiha ne kaha hai

    danista kabhi chhu ke wo lazzat nahin pai

    jo lutf kisi lams ke dhoke se mila hai

    sawan ke pujari se kaho kya hi karega

    is bar to aankhon mein ghazab call paDa hai

    wo koi qayamat nahin bas aafat-e-jaan tha

    bekar tere shahr mein ek hashr bapa hai

    sab haar diye jaane ka gham chhoD yudhishthir

    madho ki taraf se ye shubhaarambh hua hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now