Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab se maine ishq ka pairahan pahna hai

Waseem Akram

jab se maine ishq ka pairahan pahna hai

Waseem Akram

MORE BYWaseem Akram

    jab se maiñ ne ishq pairāhan pahnā hai

    sūraj mujh se aañkh churātā phirtā hai

    is bāteñ mujh se to ab pūchho

    haal us bhī bilkul mere jaisā hai

    kaise us ko dil hālat samjhā.ūñ

    baat karūñ to aañkh churāne lagtā hai

    kuchh na kahnā us bhī majbūrī hai

    sharm-o-hayā dāman us ne thāmā hai

    dekh use sab zikr hamārā karte haiñ

    us aañkh meñ sirf hamārā chehra hai

    rāz-e-mohabbat kaise bhalā us ko likkhūñ

    ḳhat merā vo dostoñ meñ bhī paḌhtā hai

    jab se main ne ishq ka pairahan pahna hai

    suraj mujh se aankh churaata phirta hai

    is ki baaten mujh se to ab puchho na

    haal us ka bhi bilkul mere jaisa hai

    kaise us ko dil ki haalat samjhaun

    baat karun to aankh churane lagta hai

    kuchh na kahna us ki bhi majburi hai

    sharm-o-haya ka daman us ne thama hai

    dekh use sab zikr hamara karte hain

    us ki aankh mein sirf hamara chehra hai

    raaz-e-mohabbat kaise bhala us ko likkhun

    KHat mera wo doston mein bhi paDhta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now