Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ji rahe hain aafiyat mein to hunar KHwabon ka hai

Ain Tabish

ji rahe hain aafiyat mein to hunar KHwabon ka hai

Ain Tabish

MORE BYAin Tabish

    rahe haiñ āfiyat meñ to hunar ḳhvāboñ hai

    ab bhī lagtā hai ki ye saarā safar ḳhvāboñ hai

    lagā rakkhā hai yuuñ ta.abīr ke auhām se

    zindagī kyā hai miyāñ bas ek ghar ḳhvāboñ hai

    raat chaltī rahtī hai aur jaltā rahtā hai charāġh

    ek bujhtā hai to phir naqsh-e-digar ḳhvāboñ hai

    rañg bāzār-e-ḳhirad aur ye merā junūñ

    ik sitāra gumbad-e-aflāk par ḳhvāboñ hai

    raat dariyā aur us meñ ek tūfān-e-muhīb

    jāgnā hai der tak ye bhī asar ḳhvāboñ hai

    varna kaT jaate haiñ roz o shab zamāne tarah

    jo bhī thoḌā bahut samjho to Dar ḳhvāboñ hai

    ji rahe hain aafiyat mein to hunar KHwabon ka hai

    ab bhi lagta hai ki ye sara safar KHwabon ka hai

    ji laga rakkha hai yun tabir ke auham se

    zindagi kya hai miyan bas ek ghar KHwabon ka hai

    raat chalti rahti hai aur jalta rahta hai charagh

    ek bujhta hai to phir naqsh-e-digar KHwabon ka hai

    rang bazar-e-KHirad ka aur ye mera junun

    ek sitara gumbad-e-aflak par KHwabon ka hai

    raat ka dariya aur us mein ek tufan-e-muhib

    jagna hai der tak ye bhi asar KHwabon ka hai

    warna kaT jate hain roz o shab zamane ki tarah

    jo bhi thoDa ya bahut samjho to Dar KHwabon ka hai

    Source:

    dasht ajab hairanii ka shayar (Pg. 101)

    • Author: ain tabish
      • Edition: 2013
      • Publisher: Educational publishing house
      • Year of Publication: 2013

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now