Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jis se wafa ki thi umid usne ada kiya ye haq

Sehr Ishqabadi

jis se wafa ki thi umid usne ada kiya ye haq

Sehr Ishqabadi

MORE BYSehr Ishqabadi

    jis se vafā thī umiid us ne adā kiyā ye haq

    auroñ se irtibāt aur mujhe diyā qalaq

    terī jafā vafā sahī merī vafā jafā sahī

    ḳhuun kisī bhī nahīñ to ye batā hai kyā shafaq

    mus.haf-e-ruḳh dard thā aur na thā koī ḳhayāl

    'ishq ne ḳhud paḌhā diyā husn ek ik varaq

    aur to haiñ rivāyateñ maz.hab-e-'ishq hai sahīh

    roz 'atā ho shauq se vahī na.ī nayā sabaq

    jazba-e-dil ġhalat sahī kuchh to subūt-e-ishq dekh

    tafta jigar havās gum ḳhīra nazar kaleja shaq

    'sehr' to mujtahid hai ḳhud kyuuñ ho muqallid aur

    bahr o radīf o qāfiya hai fann-e-shā.irī adaq

    jis se wafa ki thi umid us ne ada kiya ye haq

    auron se irtibaat ki aur mujhe diya qalaq

    teri jafa wafa sahi meri wafa jafa sahi

    KHun kisi ka bhi nahin to ye bata hai kya shafaq

    mushaf-e-ruKH hi dard tha aur na tha koi KHayal

    'ishq ne KHud paDha diya husn ka ek ek waraq

    aur to hain riwayaten mazhab-e-'ishq hai sahih

    roz 'ata ho shauq se wahi nai naya sabaq

    jazba-e-dil ghalat sahi kuchh to subut-e-ishq dekh

    tafta jigar hawas gum KHira nazar kaleja shaq

    'sehr' to mujtahid hai KHud kyun ho muqallid aur ka

    bahr o radif o qafiya hai fann-e-shairi adaq

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    jis se wafa ki thi umid usne ada kiya ye haq Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now