jism ke KHol mein ek shahr-e-ana rakkha hai
jism ke ḳhol meñ ik shahr-e-anā rakkhā hai
naam jīvan kā tabhī ham ne sazā rakkhā hai
ham makīnoñ ko nahīñ koī ḳhushī se matlab
faisla shahr ke vaalī ne sunā rakkhā hai
ḳhushiyāñ jā baiThīñ kahīñ ūñchī sī ik Tahnī par
dil ke bahlāne ko ik lafz-e-qazā rakkhā hai
āñkhoñ meñ ḳhvāb chubhan sone nahīñ detī hai
ek muddat se hameñ tū ne jagā rakkhā hai
jin ko insān bhī kahnā nahīñ jachtā 'farruḳh'
un ko ma.abūd zamāne ne banā rakkhā hai
jism ke KHol mein ek shahr-e-ana rakkha hai
nam jiwan ka tabhi hum ne saza rakkha hai
hum makinon ko nahin koi KHushi se matlab
faisla shahr ke wali ne suna rakkha hai
KHushiyan ja baiThin kahin unchi si ek Tahni par
dil ke bahlane ko ek lafz-e-qaza rakkha hai
aankhon mein KHwab chubhan sone nahin deti hai
ek muddat se hamein tu ne jaga rakkha hai
jin ko insan bhi kahna nahin jachta 'farruKH'
un ko mabud zamane ne bana rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.