Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jism ko jine ki aazadi deti hain

Amit Sharma Meet

jism ko jine ki aazadi deti hain

Amit Sharma Meet

MORE BYAmit Sharma Meet

    jism ko jiine āzādī detī haiñ

    sāñseñ har pal qurbānī detī haiñ

    rāteñ saarī karvaT meñ biit rahīñ

    yādeñ bhī kitnī bechainī detī haiñ

    jo rāheñ ḳhud meñ be-manzil hoñ

    aisī rāheñ nākāmī detī haiñ

    kaise bhī par mujh ko kuchh sapne to deñ

    āñkheñ kyā keval bīnā.ī detī haiñ

    'mīt' mujhe aksar rātoñ meñ lagtā hai

    rūheñ mujh ko āvāzeñ detī haiñ

    jism ko jine ki aazadi deti hain

    sansen har pal hi qurbani deti hain

    raaten sari karwaT mein hi bit rahin

    yaaden bhi kitni bechaini deti hain

    jo rahen KHud mein hi be-manzil si hon

    aisi rahen nakaami hi deti hain

    kaise bhi par mujh ko kuchh sapne to den

    aankhen kya kewal binai deti hain

    'mit' mujhe aksar raaton mein lagta hai

    ruhen mujh ko aawazen si deti hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now