Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

josh-e-takmil-e-tamanna hai KHuda KHair kare

Amar Singh Figar

josh-e-takmil-e-tamanna hai KHuda KHair kare

Amar Singh Figar

MORE BYAmar Singh Figar

    josh-e-takmīl-e-tamannā hai ḳhudā ḳhair kare

    ḳhaak hone andesha hai ḳhudā ḳhair kare

    jāñ-nisāroñ ko natīje tasavvur kahāñ

    ā.īna sañg pe martā hai ḳhudā ḳhair kare

    sab ne rasmī hañsī lab pe sajā rakkhī hai

    har koī dard meñ Duubā hai ḳhudā ḳhair kare

    pyaas paanī ke tajassus meñ bhaTaktī hai jahāñ

    duur tak ret dariyā hai ḳhudā ḳhair kare

    ik taraf vaqt ke muñh-zor bagūloñ hujūm

    ik taraf zard pattā hai ḳhudā ḳhair kare

    ne ghar yuuñ to bulandī pe banāyā hai 'figār'

    magar niiñd meñ chaltā hai ḳhudā ḳhair kare

    josh-e-takmil-e-tamanna hai KHuda KHair kare

    KHak hone ka andesha hai KHuda KHair kare

    jaan-nisaron ko natije ka tasawwur hi kahan

    aaina sang pe marta hai KHuda KHair kare

    sab ne rasmi hi hansi lab pe saja rakkhi hai

    har koi dard mein Duba hai KHuda KHair kare

    pyas pani ke tajassus mein bhaTakti hai jahan

    dur tak ret ka dariya hai KHuda KHair kare

    ek taraf waqt ke munh-zor bagulon ka hujum

    ek taraf zard sa patta hai KHuda KHair kare

    tu ne ghar yun to bulandi pe banaya hai 'figar'

    tu magar nind mein chalta hai KHuda KHair kare

    Source:

    Ehsas Dar Ehsas (Pg. 12)

    • Author: Amar Singh Figar
      • Edition: 2000
      • Publisher: Modern Publishing House
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now