aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun ka koi fasana to hath aane do

KHalid Malik Sahil

junun ka koi fasana to hath aane do

KHalid Malik Sahil

MORE BYKHalid Malik Sahil

    junūñ koī fasāna to haath aane do

    maiñ ro paḌūñgā bahāna to haath aane do

    maiñ apnī zaat ke raushan karūñgā vīrāne

    qubūliyat zamāna to haath aane do

    maiñ ruup aur sañvāruñgā dāstānoñ ke

    kisī qissa purānā to haath aane do

    mirī nazar meñ zamāne kaj-adā.ī hai

    nishāñ bahut haiñ nishāna to haath aane do

    ḳharīd lūñgā maiñ duniyā zamīr 'sāhil'

    zarā ruko ye ḳhazāna to haath aane do

    junun ka koi fasana to hath aane do

    main ro paDunga bahana to hath aane do

    main apni zat ke raushan karunga virane

    qubuliyat ka zamana to hath aane do

    main rup aur sanwarunga dastanon ke

    kisi ka qissa purana to hath aane do

    meri nazar mein zamane ki kaj-adai hai

    nishan bahut hain nishana to hath aane do

    KHarid lunga main duniya zamir ki 'sahil'

    zara ruko ye KHazana to hath aane do

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now