aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

justuju ne teri har chand thaka rakkha hai

Akhlaque Bandvi

justuju ne teri har chand thaka rakkha hai

Akhlaque Bandvi

MORE BYAkhlaque Bandvi

    justujū ne tirī har chand thakā rakkhā hai

    phir bhī kyā ġham ki isī meñ to maza rakkhā hai

    kuchh to apnī bhī tabī.at hai gurezāñ un se

    kuchh mizāj un bhī bar-dosh-e-havā rakkhā hai

    kyā tujhe ilm nahīñ terī razā ḳhātir

    maiñ ne kis kis ko zamāne meñ ḳhafā rakkhā hai

    jab nazar uTThī ruḳh-e-yār pe kar Thahrī

    jaise āñkhoñ meñ koī qibla-numā rakkhā hai

    kaun huuñ kyā huuñ kahāñ huuñ mujhe mālūm nahīñ

    zindagī ne ye kis moḌ pe rakkhā hai

    naam aks bhī ā.īna-e-kirdār meñ rakh

    naam 'aḳhlāq' sahī naam meñ kyā rakkhā hai

    justuju ne teri har chand thaka rakkha hai

    phir bhi kya gham ki isi mein to maza rakkha hai

    kuchh to apni bhi tabiat hai gurezan un se

    kuchh mizaj un ka bhi bar-dosh-e-hawa rakkha hai

    kya tujhe ilm nahin teri raza ki KHatir

    main ne kis kis ko zamane mein KHafa rakkha hai

    jab nazar uTThi ruKH-e-yar pe ja kar Thahri

    jaise aankhon mein koi qibla-numa rakkha hai

    kaun hun kya hun kahan hun mujhe malum nahin

    zindagi tu ne ye kis moD pe la rakkha hai

    nam ka aks bhi aaina-e-kirdar mein rakh

    nam 'aKHlaq' sahi nam mein kya rakkha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now